Best Hindustan Shayari
na samjhoge to miT jāoge ai hindostāñ vaalo
tumhārī dāstāñ tak bhī na hogī dāstānoñ meñ
na samjhoge to miT jaoge ai hindostan walo
tumhaari dastan tak bhi na hogi dastanon mein
hai raam ke vajūd pe hindostāñ ko naaz
ahl-e-nazar samajhte haiñ us ko imām-e-hind
hai ram ke wajud pe hindostan ko naz
ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-hind
jo ye hindostāñ nahīñ hotā
to ye urdu zabāñ nahīñ hotī
jo ye hindostan nahin hota
to ye urdu zaban nahin hoti
-
Tags : Hindustanand 1 more
chiin o arab hamārā hindostāñ hamārā
rahne ko ghar nahīñ hai saarā jahāñ hamārā
chin o arab hamara hindostan hamara
rahne ko ghar nahin hai sara jahan hamara
koī kartā hai jab hindostān kī baat a 'sāhil'
mujhe iqbāl kā qaumī tarāna yaad aatā hai
koi karta hai jab hindostan ki baat a 'sahil'
mujhe iqbaal ka qaumi tarana yaad aata hai
zalzala nepal meñ aayā ki hindostān meñ
zalzale ke naam se tharrā uThā saarā jahāñ
zalzala nepal mein aaya ki hindostan mein
zalzale ke nam se tharra uTha sara jahan
-
Tag : Earthquake
hindostāñ meñ dhuum hai kis kī zabān kī
vo kaun hai 'riyāz' ko jo jāntā nahīñ
hindostan mein dhum hai kis ki zaban ki
wo kaun hai 'riyaz' ko jo jaanta nahin
hindostāñ meñ daulat o hashmat jo kuchh ki thī
kāfir firañgiyoñ ne ba-tadbīr khīñch lī
hindostan mein daulat o hashmat jo kuchh ki thi
kafir firangiyon ne ba-tadbir khinch li