Best Zaroorat Shayari
ab to ḳhud apnī zarūrat bhī nahīñ hai ham ko
vo bhī din the ki kabhī terī zarūrat ham the
ab to KHud apni zarurat bhi nahin hai hum ko
wo bhi din the ki kabhi teri zarurat hum the
be-sabab baat baḌhāne kī zarūrat kyā hai
ham ḳhafā kab the manāne kī zarūrat kyā hai
be-sabab baat baDhane ki zarurat kya hai
hum KHafa kab the manane ki zarurat kya hai
nizām-e-mai-kada saaqī badalne kī zarūrat hai
hazāroñ haiñ safeñ jin meñ na mai aa.ī na jaam aayā
nizam-e-mai-kada saqi badalne ki zarurat hai
hazaron hain safen jin mein na mai aai na jam aaya
zarūrat us kī hameñ hai magar ye dhyān rahe
kahāñ vo ġhair-zarūrī kahāñ zarūrī hai
zarurat us ki hamein hai magar ye dhyan rahe
kahan wo ghair-zaruri kahan zaruri hai
ḳhud charāġhoñ ko andheroñ kī zarūrat hai bahut
raushnī ho to unheñ log bujhāne lag jaa.eñ
KHud charaghon ko andheron ki zarurat hai bahut
raushni ho to unhen log bujhane lag jaen
ye kis ko yaad kiyā ruuh kī zarūrat ne
ye kis ke naam se mere lahū meñ phuul khile
ye kis ko yaad kiya ruh ki zarurat ne
ye kis ke nam se mere lahu mein phul khile
dar-asl is jahāñ ko zarūrat nahīñ mirī
har-chand is jahāñ ke liye nā-guzīr maiñ
dar-asl is jahan ko zarurat nahin meri
har-chand is jahan ke liye na-guzir main
agar itnī muqaddam thī zarūrat raushnī kī
to phir saa.e se apne pyaar karnā chāhiye thā
agar itni muqaddam thi zarurat raushni ki
to phir sae se apne pyar karna chahiye tha
un ke bhī apne ḳhvāb the apnī zarūrateñ
ham-sā.e kā magar vo galā kāTte rahe
un ke bhi apne KHwab the apni zaruraten
ham-sae ka magar wo gala kaTte rahe
hameñ bhī zarūrat thī ik shaḳhs kī
ye husn-e-tasādum bahut ḳhuub hai
hamein bhi zarurat thi ek shaKHs ki
ye husn-e-tasadum bahut KHub hai
jaane kab kaun se lamhe meñ zarūrat paḌ jaa.e
tum hamāre liye pahle se duā kar rakhnā
jaane kab kaun se lamhe mein zarurat paD jae
tum hamare liye pahle se dua kar rakhna