Dua Shayari
mujhe zindagī kī duā dene vaale
hañsī aa rahī hai tirī sādgī par
mujhe zindagi ki dua dene wale
hansi aa rahi hai teri sadgi par
koī chārā nahīñ duā ke sivā
koī suntā nahīñ ḳhudā ke sivā
TRANSLATION
There’s no option but to pray with piety,
As no one listens, except the Almighty.
Sagar Akbarabadi
koi chaara nahin dua ke siwa
koi sunta nahin KHuda ke siwa
TRANSLATION
There’s no option but to pray with piety,
As no one listens, except the Almighty.
Sagar Akbarabadi
-
Tag : Dua
duā karo ki ye paudā sadā harā hī lage
udāsiyoñ meñ bhī chehra khilā khilā hī lage
dua karo ki ye pauda sada hara hi lage
udasiyon mein bhi chehra khila khila hi lage
-
Tag : Dua
kāmyābī kī duā.eñ mujhe dene vaale
maiñ tire ishq meñ nākām huā jaatā huuñ
kaamyabi ki duaen mujhe dene wale
main tere ishq mein nakaam hua jata hun
kyā haath uThā.iye duā ko
ham haath uThā chuke duā se
kya hath uThaiye dua ko
hum hath uTha chuke dua se
chalegā tiir jab apnī duā kā
kaleje dushmanoñ ke chhān degā
chalega tir jab apni dua ka
kaleje dushmanon ke chhan dega
-
Tag : Teer
ab hai duā ye apnī har shaam har sahar ko
yā vo badan se lipTe yā jaan tan se nikle
ab hai dua ye apni har sham har sahar ko
ya wo badan se lipTe ya jaan tan se nikle
ghar se niklo to duā maañg ke niklo varna
lauT aane kā nahīñ apne bharosa koī
ghar se niklo to dua mang ke niklo warna
lauT aane ka nahin apne bharosa koi
bahr-e-bīmār davā hai na duā
kyā ise chāragarī kahte haiñ
bahr-e-bimar dawa hai na dua
kya ise chaaragari kahte hain
diloñ se dard duā se asar nikaltā hai
ye kis bahisht kī jānib bashar nikaltā hai
dilon se dard dua se asar nikalta hai
ye kis bahisht ki jaanib bashar nikalta hai