Top 10 couplets of Yagana Changezi
One of most inspiring pre-modern poets who laid foundations for modern ghazal. Known for his sustained denunciation of Mirza Ghalib and contemporary poetry in Lucknow.
mujhe ai nāḳhudā āḳhir kisī ko muñh dikhānā hai
bahāna kar ke tanhā paar utar jaanā nahīñ aatā
mujhe ai naKHuda aaKHir kisi ko munh dikhana hai
bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata
na diin ke hue mohsin ham aur na duniyā ke
butoñ se ham na mile aur hameñ ḳhudā na milā
na din ke hue mohsin hum aur na duniya ke
buton se hum na mile aur hamein KHuda na mila
gunāh gin ke maiñ kyuuñ apne dil ko chhoTā karūñ
sunā hai tere karam kā koī hisāb nahīñ
gunah gin ke main kyun apne dil ko chhoTa karun
suna hai tere karam ka koi hisab nahin
'yās' is charḳh-e-zamāna-sāz kā kyā e'tibār
mehrbāñ hai aaj kal nā-mehrbāñ ho jā.egā
'yas' is charKH-e-zamana-saz ka kya e'tibar
mehrban hai aaj kal na-mehrban ho jaega
pahāḌ kāTne vaale zamīñ se haar ga.e
isī zamīn meñ dariyā samā.e haiñ kyā kyā
pahaD kaTne wale zamin se haar gae
isi zamin mein dariya samae hain kya kya
-
Tag : Haar
sab tire sivā kāfir āḳhir is kā matlab kyā
sar phirā de insāñ kā aisā ḳhabt-e-maz.hab kyā
sab tere siwa kafir aaKHir is ka matlab kya
sar phira de insan ka aisa KHabt-e-mazhab kya
maut māñgī thī ḳhudā.ī to nahīñ māñgī thī
le duā kar chuke ab tark-e-duā karte haiñ
maut mangi thi KHudai to nahin mangi thi
le dua kar chuke ab tark-e-dua karte hain
dard ho to davā bhī mumkin hai
vahm kī kyā davā kare koī
dard ho to dawa bhi mumkin hai
wahm ki kya dawa kare koi
-
Tag : Wahm
duniyā se 'yās' jaane ko jī chāhtā nahīñ
allāh re husn gulshan-e-nā-pā.edār kā
duniya se 'yas' jaane ko ji chahta nahin
allah re husn gulshan-e-na-paedar ka
ḳhudī kā nashsha chaḌhā aap meñ rahā na gayā
ḳhudā bane the 'yagānā' magar banā na gayā
KHudi ka nashsha chaDha aap mein raha na gaya
KHuda bane the 'yagana' magar bana na gaya
-
Tags : Famous shayariand 1 more