aaKHirii mulaaqaat kaa giit
merā siina sard aur be-jān hotā gayā
magar mere qadam subuk rahe
maiñ ne apne baa.eñ haath kā dastāna
ġhalatī se daa.eñ haath par chaḌhā liyā
aisā lag rahā thā vahāñ bahut saarī sīḌhiyāñ thiiñ
maiñ jāntī thī vo sirf tiin thiiñ
maple ke daraḳhtoñ ke darmiyān
ḳhizāñ kī sargoshī isrār kartī rahī mere saath mar jaao
taġhayyur ne mujhe thakā Daalā hai
taqdīr ne dhoke se merā sab kuchh hathiyā liyā hai
maiñ ne javāb diyā merī pyārī merī pyārī
maiñ bhī tumhāre saath marūñgī
maiñ bhī aziyyat meñ huuñ
ye āḳhirī mulāqāt kā giit thā
maiñ ne makān ke tārīk dar-o-dīvār par nazar Daalī
sirf ḳhvāb-gāh kī mom-battiyāñ jal rahī thiiñ
jin ke sho'le zard aur be-niyāz the
mera sina sard aur be-jaan hota gaya
magar mere qadam subuk rahe
main ne apne baen hath ka dastana
ghalati se daen hath par chaDha liya
aisa lag raha tha wahan bahut sari siDhiyan thin
main jaanti thi wo sirf tin thin
maple ke daraKHton ke darmiyan
KHizan ki sargoshi israr karti rahi mere sath mar jao
taghayyur ne mujhe thaka Dala hai
taqdir ne dhoke se mera sab kuchh hathiya liya hai
main ne jawab diya meri pyari meri pyari
main bhi tumhaare sath marungi
main bhi aziyyat mein hun
ye aaKHiri mulaqat ka git tha
main ne makan ke tarik dar-o-diwar par nazar Dali
sirf KHwab-gah ki mom-battiyan jal rahi thin
jin ke sho'le zard aur be-niyaz the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.