aa.nsuu
chalo
tumhārī aañkh ke goshe meñ āḳhirash ik ashk
muqīm ho hī gayā jāguzīn ho hī gayā
ye ashk aisā hai
jaise ki munjamid billor
nahīñ hai jis kī damak bahr-e-zīnat-e-'ālam
ye vo hai
jo hai sadāqat kā ik numā.inda
tumhārī zaat meñ zam kar chukā hai apne ta.iiñ
ye ashk vo hai ki jo tum se hī hai vābasta
hamesha saath tumhāre hai pāsbāñ kī tarah
hañsī ḳhushī meñ bhī shirkat hai is kī ġham meñ bhī
tumhārā saath nibhātā hai kitnā muḳhlis hai
hazāroñ yādoñ ko laatā hai sāmne aksar
tumhāre saath hī rahtā hai tum nahīñ tanhā
chalo
tumhaari aankh ke goshe mein aaKHirash ek ashk
muqim ho hi gaya jaguzin ho hi gaya
ye ashk aisa hai
jaise ki munjamid billor
nahin hai jis ki damak bahr-e-zinat-e-'alam
ye wo hai
jo hai sadaqat ka ek numainda
tumhaari zat mein zam kar chuka hai apne tain
ye ashk wo hai ki jo tum se hi hai wabasta
hamesha sath tumhaare hai pasban ki tarah
hansi KHushi mein bhi shirkat hai is ki gham mein bhi
tumhaara sath nibhata hai kitna muKHlis hai
hazaron yaadon ko lata hai samne aksar
tumhaare sath hi rahta hai tum nahin tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.