'ahd
maiñ nahīñ hūñgā tapasvī nahīñ hūñgā nahīñ hūñgā
chāhe log jaisā kaheñ
maiñ yaqīnan tapasvī nahīñ hūñgā agar
na mile ek sāthī tapasvanī
maiñ ne kaḌā 'ahd kar liyā hai
agar na milā bakul kā ban
agar dil ke muāfiq dil na jiit pā.ūñ
to nahīñ hūñgā tapasvī nahīñ hūñgā nahīñ hūñgā
agar na pā.ūñ us tapasvanī ko
maiñ choḌūñgā nahīñ ghar niklūñgā nahīñ bāhar
tārikudduniyā sanyāsī ho kar
agar ghar se bāhar na hañse koī bhī
dhartī ko lubhāne vaalī hañsī
agar na uḌe niilā āñchal
madhur havā meñ chanchal ho kar
agar ghuñgrū lagā kangan aur paa.el na baje
run-jhun kar ke
maiñ nahīñ hūñgā tapasvī nahīñ hūñgā nahīñ hūñgā
agar na pā.ūñ tapasvanī ko
maiñ nahīñ hūñgā tapasvī tumhārī qasam
agar is tapasyā ke bal se
koī na.ī duniyā na banā sakūñ
kisī ke dil meñ
agar jagā ke biinā ke tāroñ ko
kisī ke haqīqī raaz ke darvāze toḌ kar
kisī na.ī aañkh ke ishāre ko
na pahchān luuñ
maiñ nahīñ hūñgā tapasvī nahīñ hūñgā nahīñ hūñgā
baġhair tapasvanī ko paa.e
main nahin hunga tapaswi nahin hunga nahin hunga
chahe log jaisa kahen
main yaqinan tapaswi nahin hunga agar
na mile ek sathi tapaswani
main ne kaDa 'ahd kar liya hai
agar na mila bakul ka ban
agar dil ke muafiq dil na jit paun
to nahin hunga tapaswi nahin hunga nahin hunga
agar na paun us tapaswani ko
main choDunga nahin ghar niklunga nahin bahar
tarikudduniya sanyasi ho kar
agar ghar se bahar na hanse koi bhi
dharti ko lubhane wali hansi
agar na uDe nila aanchal
madhur hawa mein chanchal ho kar
agar ghungru laga kangan aur pael na baje
run-jhun kar ke
main nahin hunga tapaswi nahin hunga nahin hunga
agar na paun tapaswani ko
main nahin hunga tapaswi tumhaari qasam
agar is tapasya ke bal se
koi nai duniya na bana sakun
kisi ke dil mein
agar jaga ke bina ke taron ko
kisi ke haqiqi raaz ke darwaze toD kar
kisi nai aankh ke ishaare ko
na pahchan lun
main nahin hunga tapaswi nahin hunga nahin hunga
baghair tapaswani ko pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.