Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dost mere

Translation Available By: Suhail Ahmad Farooqi

Rabindranath Tagore

Rabindranath Tagore

ai dost mere

Rabindranath Tagore

MORE BYRabindranath Tagore

    ai dost mere

    ye raat tūfāñ

    tum akele

    mohabbatoñ ke safar pe nikle

    ki āsmāñ bhī to ġham-zada hai

    taḌap rahā hai

    aur aaj raat

    merī āñkhoñ se

    niiñd parvāz kar ga.ī hai

    maiñ ke darvāza kholtā huuñ

    to bas añdhere meñ ghūrtā huuñ

    ai dost mere

    ki sāmne apne maiñ kisī ko bhī

    dekh paatā nahīñ huuñ āḳhir

    mujhe hai hairat

    bhalā tirī rahguzar kahāñ hai

    ai dost mere

    vo kitnā tārīk hai samundar

    ki jis ke mauhūm sāhiloñ se

    vo kitnā maḳhdūsh hogā jangal

    vo kitnā pur-pech hai añdherā

    ki jin se bachte bachāte āḳhir

    mirī taraf hai aane vaalā

    ai dost mere

    ye raat tufan ki

    tum akele

    mohabbaton ke safar pe nikle

    ki aasman bhi to gham-zada hai

    taDap raha hai

    aur aaj ki raat

    meri aankhon se

    nind parwaz kar gai hai

    main ja ke darwaza kholta hun

    to bas andhere mein ghurta hun

    ai dost mere

    ki samne apne main kisi ko bhi

    dekh pata nahin hun aaKHir

    mujhe hai hairat

    bhala teri rahguzar kahan hai

    ai dost mere

    wo kitna tarik hai samundar

    ki jis ke mauhum sahilon se

    wo kitna maKHdush hoga jangal

    wo kitna pur-pech hai andhera

    ki jin se bachte bachate aaKHir

    meri taraf tu hai aane wala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now