ajnabii aur mulkii baashinde
ajnabī ashḳhās ho jaate haiñ mahv
dekh kar ek poplī buḌhiyā kī piilī sī hañsī
aur
unheñ mahsūs hotā hai ki is meñ husn hai
asl bāshinde magar us mulk ke
ghūrte haiñ is tarah buḌhiyā kī jānib qahr se
jaise un kī āñkheñ kyā haiñ ko.ele dahke hue
ajnabī aapas meñ kah sakte haiñ yuuñ
dekho dekho kaisā hai tarz-e-libās
dekho in kapḌoñ ko jo haiñ is 'ajab malika ke
tan par zeb-tan
mulkī bāshinde
guzar jaate haiñ muñh ko pher ke
un se ye bardāsht ho saktā nahīñ
ham-vatan 'aurat kā jism-e-bad-numā ho rū-barū
chīthaḌoñ se jhāñktā makrūh gosht
us kā nazzāra kareñ
hai ye un ke vāste taklīf-dah
ajnabi ashKHas ho jate hain mahw
dekh kar ek popli buDhiya ki pili si hansi
aur
unhen mahsus hota hai ki is mein husn hai
asl bashinde magar us mulk ke
ghurte hain is tarah buDhiya ki jaanib qahr se
jaise un ki aankhen kya hain koele dahke hue
ajnabi aapas mein kah sakte hain yun
dekho dekho kaisa hai tarz-e-libas
dekho in kapDon ko jo hain is 'ajab malika ke
tan par zeb-tan
mulki bashinde
guzar jate hain munh ko pher ke
un se ye bardasht ho sakta nahin
ham-watan 'aurat ka jism-e-bad-numa ho ru-baru
chithaDon se jhankta makruh gosht
us ka nazzara karen
hai ye un ke waste taklif-dah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.