be-KHudii
Interesting Fact
سر وجنی نیڈو کی نظم ECSTASY کا ترجمہ)
(1)
uTho bahār aa ga.ī
chaman meñ murġh-zār meñ
vo andalīb-e-ḳhush-navā ḳhushī se gā rahī hai aaj
vo jūebār kis tarah machal ke aa rahī hai aaj
vo mor bhī to dekhiye jo mahv-e-raqs-o-rang haiñ
(2)
dil-e-hazīñ nazar to kar
samā hai raqs-o-rang kā
miTā.e jā rahā hai ġham
asar sadā-e-chang kā
samāñ to dekh har taraf
bahār hī bahār hai
‘urūs-e-kā.enāt par
shabāb hai nikhār hai
tuyūr naġhma-sanj haiñ
tarab meñ jūebār hai
inhīñ se leñge dars ham surūr-o-imbisāt kā
ġham-o-alam ke vāste to ek 'umr hai abhī
ye zikr ġham kā chhoḌ de
ki aaj nau-bahār hai
(1)
uTho bahaar aa gai
chaman mein murgh-zar mein
wo andalib-e-KHush-nawa KHushi se ga rahi hai aaj
wo juebar kis tarah machal ke aa rahi hai aaj
wo mor bhi to dekhiye jo mahw-e-raqs-o-rang hain
(2)
dil-e-hazin nazar to kar
sama hai raqs-o-rang ka
miTae ja raha hai gham
asar sada-e-chang ka
saman to dekh har taraf
bahaar hi bahaar hai
‘urus-e-kaenat par
shabab hai nikhaar hai
tuyur naghma-sanj hain
tarab mein juebar hai
inhin se lenge dars hum surur-o-imbisat ka
gham-o-alam ke waste to ek 'umr hai abhi
ye zikr gham ka chhoD de
ki aaj nau-bahaar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.