chhuuTaa hu.aa ghar
jāntī huuñ ki duur ek ghar se
zindagī kī ḳhushī jā chukī hai
ro rahā hai vahāñ koī bachcha
jis kī maañ chhoḌ kar jā chukī hai
har ghaḌī zehn meñ dauḌtā hai
naqsh-e-bistar ki hai ḳhālī-o-sard
naqsh us haath kā jis ne Dhālā
ek paikar vahāñ bā-ġham-o-dard
dekhtī huuñ kanār-e-buḳhārī
saaya us kā hai kamzōr-o-larzāñ
saaya un bāzuoñ kā ki jin ko
zindagī chhoḌ denā thā āsāñ
duur sotā hai ġhamgīn bachcha
ḳhasta-o-pīr daaya ke bar meñ
duudh qālīñ ke phūloñ meñ hai jazb
sar-nigūñ ek pyālī paḌī hai
rah ga.ī hai khulī ek khiḌkī
rang phūloñ kā uḌne lagā hai
parda uftāda shāne pe dar ke
āb-e-guldān sūkhā paḌā hai
āñkheñ billī kī haiñ sard-o-be-nūr
narm bojhal qadam rakh rahī hai
sham' kā sho'la-e-āḳhirīñ hai
goyā ab hichkiyāñ le rahī hai
jāntī huuñ ki duur ek ghar se
zindagī kī ḳhushī jā chukī hai
ro rahā hai vahāñ koī bachcha
jis kī maañ chhoḌ kar jā chukī hai
aah maiñ ḳhasta-jān-o-pareshāñ
apnī dhun meñ chalī jā rahī huuñ
yār-e-man she'r o dil-dār-e-man she'r
jā rahī huuñ ki bas us ko pā luuñ
jaanti hun ki dur ek ghar se
zindagi ki KHushi ja chuki hai
ro raha hai wahan koi bachcha
jis ki man chhoD kar ja chuki hai
har ghaDi zehn mein dauDta hai
naqsh-e-bistar ki hai KHali-o-sard
naqsh us hath ka jis ne Dhaala
ek paikar wahan ba-gham-o-dard
dekhti hun kanar-e-buKHari
saya us ka hai kamzoor-o-larzan
saya un bazuon ka ki jin ko
zindagi chhoD dena tha aasan
dur sota hai ghamgin bachcha
KHasta-o-pir daya ke bar mein
dudh qalin ke phulon mein hai jazb
sar-nigun ek pyali paDi hai
rah gai hai khuli ek khiDki
rang phulon ka uDne laga hai
parda uftada shane pe dar ke
aab-e-guldan sukha paDa hai
aankhen billi ki hain sard-o-be-nur
narm bojhal qadam rakh rahi hai
sham' ka sho'la-e-aKHirin hai
goya ab hichkiyan le rahi hai
jaanti hun ki dur ek ghar se
zindagi ki KHushi ja chuki hai
ro raha hai wahan koi bachcha
jis ki man chhoD kar ja chuki hai
aah main KHasta-jaan-o-pareshan
apni dhun mein chali ja rahi hun
yar-e-man she'r o dil-dar-e-man she'r
ja rahi hun ki bas us ko pa lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.