du'aa
Interesting Fact
(جان ہنری نیو مین کی مشہور نظم LEAD KINDLY LIGHTکا ترجمہ)
har samt muhīb tīrgī hai
yā-rab mirī jaan par banī hai
terā hai faqat mujhe sahārā
manzil se abhī huuñ maiñ bahut duur
thoḌā sā bhī raah meñ nahīñ nuur
chalne kā nahīñ mujh meñ yaarā
ab paañv bhī Dagmagā rahe haiñ
yā-rab hai tirā hī ik sahārā
bas gām-do-gām rahbarī kar
rahmat kā zarā sā ho ishārā
(2)
hai qābil-e-rahm ḳhasta-hālī
kab tak ye rahegī pā.imālī
ab tak na kabhī huā savālī
ḳhud apnī maiñ raah DhūñDhtā thā
DhūñDā na kabhī tirā sahārā
tang aa ke hī ab tujhe pukārā
dil meñ thī agarche ik ḳhalish sī
maiñ nām-o-numūd par fidā thā
sar meñ thā bharā huā takabbur
ab merī ḳhatā ko bhuul hī jā
(3)
ab tak rahā sar pe haath terā
chhoḌā nahīñ tū ne saath merā
lekin abhī duur hai saverā
baaqī hai abhī to zulmat-e-shab
kyā jaane tulū'-e-sub.h ho kab
bas ek nigāh mujh pe yā-rab
ho jā.egī jab sahar huvaidā
aa jā.egī sāmne tajallī
jo aañkh se ho ga.ī hai ojhal
har dam hai mujhe talāsh jis kī
har samt muhib tirgi hai
ya-rab meri jaan par bani hai
tera hai faqat mujhe sahaara
manzil se abhi hun main bahut dur
thoDa sa bhi rah mein nahin nur
chalne ka nahin mujh mein yara
ab panw bhi Dagmaga rahe hain
ya-rab hai tera hi ek sahaara
bas gam-do-gam rahbari kar
rahmat ka zara sa ho ishaara
(2)
hai qabil-e-rahm KHasta-haali
kab tak ye rahegi paimali
ab tak na kabhi hua sawali
KHud apni main rah DhunDhta tha
DhunDa na kabhi tera sahaara
tang aa ke hi ab tujhe pukara
dil mein thi agarche ek KHalish si
main nam-o-numud par fida tha
sar mein tha bhara hua takabbur
ab meri KHata ko bhul hi ja
(3)
ab tak raha sar pe hath tera
chhoDa nahin tu ne sath mera
lekin abhi dur hai sawera
baqi hai abhi to zulmat-e-shab
kya jaane tulu'-e-subh ho kab
bas ek nigah mujh pe ya-rab
ho jaegi jab sahar huwaida
aa jaegi samne tajalli
jo aankh se ho gai hai ojhal
har dam hai mujhe talash jis ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.