ek KHauf
jis din maiñ marūñgā
apnī tamām pasandīda kitāboñ ko apne saath le jā.uñgā
apnī qabr ko un tamām dostoñ kī tasvīroñ se pur kar dūñgā jinheñ maiñ pasand kartā huuñ
aur is baat se ḳhush rahūñgā ki mere paas ek chhoTā sā kamra hai
mustaqbil ke ḳhauf ke baġhair
maiñ laTe jā.uñgā aur cigarette sulgā.ūñgā
aur ro.ūñgā un tamām laḌkiyoñ ke liye
jinheñ maiñ pasand kartā thā aur bāñhoñ meñ bhar lenā chāhtā thā
lekin har ḳhushī ke andar
ek baḌā ḳhauf chhupā huā hai
ḳhauf is baat kā
ki sub.h-savere
koī mere shāne ko jhiñjhoḌe
aur kahe
sābīr، uTho
kaam par chalte haiñ
jis din main marunga
apni tamam pasandida kitabon ko apne sath le jaunga
apni qabr ko un tamam doston ki taswiron se pur kar dunga jinhen main pasand karta hun
aur is baat se KHush rahunga ki mere pas ek chhoTa sa kamra hai
mustaqbil ke KHauf ke baghair
main laTe jaunga aur cigarette sulgaunga
aur rounga un tamam laDkiyon ke liye
jinhen main pasand karta tha aur banhon mein bhar lena chahta tha
lekin har KHushi ke andar
ek baDa KHauf chhupa hua hai
KHauf is baat ka
ki subh-sawere
koi mere shane ko jhinjhoDe
aur kahe
sabir، uTho
kaam par chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.