gul-e-ranjuur
laal gulāb
tū bīmār hai
vo nā-dīda bhañvrā
jo rātoñ meñ
ġhauġhā kartī āñdhī meñ
uḌtā phirtā hai
us ne tere
surḳh 'aish kā bistar
pā liyā hai
aur us kā tārīk pur-asrār 'ishq
terī ziist barbād kar rahā hai
lal gulab
tu bimar hai
wo na-dida bhanwra
jo raaton mein
ghaugha karti aandhi mein
uDta phirta hai
us ne tere
surKH 'aish ka bistar
pa liya hai
aur us ka tarik pur-asrar 'ishq
teri zist barbaad kar raha hai
- Book : Word File by Mumtaz Iqbal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.