gulban kaa phuul
mere sāmne ek phuul rakhā gayā
aisā phuul kisī bhī mausam-e-bahār meñ
bhalā kyā khilā hogā lekin
maiñ ne kahā mere paas to ḳhud hī ek pyārā pyārā gulban hai
aur maiñ ne us ḳhushbū se sarf-e-nazar kiyā
phir maiñ apne pyāre gulban par gayā
ki shabāñ roz us kī dekh-bhāl karūñ
ḳhidmat karūñ
lekin ġhairat ke maare mere gulāb ne
muñh pher liyā aur bas us ke kāñTe hī
merā māya-e-rāhat bane
mere samne ek phul rakha gaya
aisa phul kisi bhi mausam-e-bahaar mein
bhala kya khila hoga lekin
main ne kaha mere pas to KHud hi ek pyara pyara gulban hai
aur main ne us KHushbu se sarf-e-nazar kiya
phir main apne pyare gulban par gaya
ki shaban roz us ki dekh-bhaal karun
KHidmat karun
lekin ghairat ke mare mere gulab ne
munh pher liya aur bas us ke kanTe hi
mera maya-e-rahat bane
- Book : Word File by Mumtaz Iqbal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.