gunah kiyaa mai.n ne
gunah kiyā maiñ ne
gunāh-e-pur-lazzat
ik us kanār meñ jo garm-o-ātishīñ thī bahut
aur aise bāzuoñ meñ
sulag rahe the jo zālim the āhanīñ the bahut
añdherī ḳhalvat meñ
añdherī aur ḳhamosh
nazar milī us se
nigāh raaz se pur
'ajab niyāz se pur
aur aisī ḳhvāhish se
ki be-qarārī se siine meñ dil mirā larzā
maiñ us ke pahlū meñ baiThī rahī pareshāñ sī
laboñ ne us ke laboñ par mire
havas chhiḌkī
to kyā huā mujh ko
ki mere dil se pareshānī-e-zamāna ga.ī
nihāyat āhista
maiñ us ke kaan meñ kahne lagī fasāna-e-'ishq
tirī tamanna hai jānāñ tirī tamanna hai
tirī tamanna hai āġhosh-e-jāñ-fizā terī
tirī tamanna hai
ai mire divāna-e-'ishq
havas se us kī nazar meñ bhaḌak uThe sho'le
sharāb-e-surḳh piyāloñ meñ raqs karne lagī
thā narm ik bistar
aur us ke siine par
anokhī mastī se merā badan laraztā rahā
gunah kiyā maiñ ne
gunāh-e-pur-lazzat
kinār-e-paikar-e-larzāñ
paikar-e-mad.hosh
mire ḳhudā mujhe kyā 'ilm kyā kiyā maiñ ne
añdherī ḳhalvat meñ
añdherī aur ḳhamosh
gunah kiya main ne
gunah-e-pur-lazzat
ek us kanar mein jo garm-o-atishin thi bahut
aur aise bazuon mein
sulag rahe the jo zalim the aahanin the bahut
andheri KHalwat mein
andheri aur KHamosh
nazar mili us se
nigah raaz se pur
'ajab niyaz se pur
aur aisi KHwahish se
ki be-qarari se sine mein dil mera larza
main us ke pahlu mein baiThi rahi pareshan si
labon ne us ke labon par mere
hawas chhiDki
to kya hua mujh ko
ki mere dil se pareshani-e-zamana gai
nihayat aahista
main us ke kan mein kahne lagi fasana-e-'ishq
teri tamanna hai jaanan teri tamanna hai
teri tamanna hai aaghosh-e-jaan-fiza teri
teri tamanna hai
ai mere diwana-e-'ishq
hawas se us ki nazar mein bhaDak uThe sho'le
sharab-e-surKH piyalon mein raqs karne lagi
tha narm ek bistar
aur us ke sine par
anokhi masti se mera badan larazta raha
gunah kiya main ne
gunah-e-pur-lazzat
kinar-e-paikar-e-larzan
paikar-e-madhosh
mere KHuda mujhe kya 'ilm kya kiya main ne
andheri KHalwat mein
andheri aur KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.