ham-safar
Interesting Fact
(براؤننگ کی مشہور نظم THE LAST RIDE TO GETHER کا ترجمہ)
(1)
manzūr yahī jab mujhe ai jān-e-jahāñ hai
jo merā muqaddar hai vo ab mujh pe 'ayāñ hai
nākām rahā aah mirā jazba-e-ulfat
hisse meñ mire aa.ī hai mahrūmī-o-hasrat
likkhā hai jo taqdīr meñ vo ho ke rahegā
ab tak hai magar dil meñ vahī terī mohabbat
rahtī hai mire sāmne har dam tirī sūrat
go vasl kī ummīd tujhe sauñp chukā huuñ
us par bhī tirī yaad kā pāband-e-vafā huuñ
kuchh aur bhī kahnā hai magar terī razā se
ghoḌe pe chaleñ sair kā kuchh lutf to aa.e
(2)
ye sun ke jabīñ jhuk ga.ī us shoḳh-adā kī
nazreñ bhī jhukīñ jin meñ ra'ūnat thī balā kī
dekhā jo zarā merī taraf aañkh uThā kar
kuchh aa hī gayā rahm mere hāl-e-zabūñ par
pūchho na kuchh us vaqt dil-e-zār kā 'ālam
itne meñ huī mujh pe 'ināyāt kī bārish
manzūr huī merī ye chhoTī sī guzārish
ab raḳhsh par ham baiTheñge vo hogī mire paas
qurbat se hameñ hogā mohabbat kā bhī ehsās
us sā'at-e-nādir ko maiñ samjhūñgā ġhanīmat
kyā jaane ki aa jaa.e usī roz qayāmat
(3)
phir baiTh ga.ī mere hī ghoḌe pe vo tannāz
par lag ga.e dil ko bhī huā mā.il-e-parvāz
phir mujh ko milī merī vo gum-gashta javānī
maazī thā mire vāste ab ek kahānī
jo biit chukā mere liye biit chukā thā
kyoñ sochtā yuuñ kartā to ho saktī thī ye baat
ab sūd-o-ziyāñ ke the kahāñ dil meñ ḳhayālāt
ye kahiye ki qismat ne diyā ab to mirā saath
jā saktī thī varna vo mirā chhoḌ ke bhī haath
kyā mujh pe guzarnī thī bigaḌ jaatā agar kaam
ab raḳhsh pe baiThī hai mire saath vo gulfām
(4)
maanā ki milā jo vo tamanna se hai kamtar
sab kuchh to nahīñ hotā kisī ko bhī mayassar
mahbūb ke pahlū meñ ye kyā kam thī savārī
us vaqt mirī ruuh pe thā kaif sā taarī
duniyā kī har ik chiiz thī raqsāñ mire aage
sochā ki kiyā karte haiñ sab log riyāzat
kitne haiñ magar jin ke qadam chuum le nusrat
takmīl kahāñ paate haiñ duniyā meñ sabhī kaam
āġhāz to āsān hai dushvār hai anjām
sochā thā hamesha vo mire paas rahegī
ab raḳhsh pe hai saath chalo ye bhī hai kaafī
(5)
hone ko to hote haiñ ka.ī dil meñ 'azā.im
har 'azm kī takmīl kahāñ hotī hai daa.im
ho laakh kisī kaam se insāñ ko lagāvaT
kis kaam meñ aatī nahīñ darpesh rukāvaT
sad-shukr ki jī bhar ke use dekh rahā huuñ
leader ko zarā dekhiye kyā miltā hai in'ām
mar jaane pe chhap jā.egā aḳhbār meñ bas naam
jāñbāz sipāhī ko ye hotā hai mayassar
khodegā pas-e-marg koī naam lahad par
leader kā hai ye haal sipāhī kā ye anjām
maiñ ḳhush huuñ ki donoñ se hai baḌh kar mirā in'ām
(6)
ai qulzum-e-afkār meñ Duube hue shā'ir
alfāz se tū she'r banāne meñ hai māhir
hai terā qalam husn-e-jahāñ-tāb kā maz.har
de saktā hai jazbāt ko alfāz kā paikar
bhar detā hai alfāz ke paikar meñ tarannum
maanā ki baḌī chiiz hai ye kaam hai mushkil
kyā ḳhud bhī magar tujh ko hai ne'mat koī hāsil
juz 'usrat-o-adbār tire paas hī kyā hai
kyā tishna-labī hī tirī kāvish kā sila hai
ye maan liyā zauq-e-suḳhan se huuñ maiñ 'aarī
lekin tirī qīmat meñ kahāñ aisī savārī
(7)
but-gar se kaho tū ne bhī kī fan kī 'ibādat
rakhtā hai fan-e-sang-tarāshī meñ mahārat
'venus' kā ye but jis ko samajhtā hai tū shahkār
rakhtā hai kashish is se to baḌh kar vo tarahdār
is par bhī hai tū shaad to kyoñ mujh ko ho afsos
ai māhir-e-mausīqī zarā tujh se karūñ baat
is fan kī 'ibādat meñ huī vaqf tirī zaat
afsos ki bas itnī hī miltī hai tujhe daad
kar saktā hai tū saaz kī jhankār se dil shaad
is par bhī ye mushkil ki badal jaate haiñ me'yār
hai 'ishq kā ye faiz ki ham-dosh hai dil-dār
(8)
kyā Thiik hai insāñ ke liye us ko ḳhabar kyā
manzūr agar kātib-e-taqdīr ko hotā
ho jaatī yahīñ vasl kī ne'mat bhī mayassar
lekin koī nā-'āqibat-andesh ho kyūñkar
insān ko andesha-e-'uqbā bhī hai lāzim
ho jaatā agar ziist meñ puurā mirā manshā
mil jaatī yahīñ mujh ko mirī jān-e-tamannā
'uqbā ke liye phir koī rahtā na sahārā
sad-shukr ki kashtī se rahā duur kinārā
ho lene do ab raḳhsh pe dam bhar mujhe mahzūz
mahbūb bhī mahfūz hai 'uqbā bhī hai mahfūz
(9)
ḳhāmosh thī vo rashk-e-qamar ġhairat-e-firdaus
māhaul thā mere liye ham-sūrat-e-firdaus
vo māh-laqā mujh se thī us vaqt baġhal-gīr
aisī hī huā kartī hai firdaus kī tasvīr
mumkin hai ki ban jaa.eñ ye lamhāt davāmī
baiThe hī raheñ raḳhsh pe tā-roz-e-qayāmat
har vaqt rahe sāmne vo chāñd sī sūrat
armāñ bhī nikalte raheñ hasrat bhī ho baaqī
ban jā.egā firdaus yahī 'ālam-e-ḳhākī
hogī na kabhī ḳhatm ye pur-lutf savārī
jannat bhī hamārī hai ye duniyā bhī hamārī
(1)
manzur yahi jab mujhe ai jaan-e-jahan hai
jo mera muqaddar hai wo ab mujh pe 'ayan hai
nakaam raha aah mera jazba-e-ulfat
hisse mein mere aai hai mahrumi-o-hasrat
likkha hai jo taqdir mein wo ho ke rahega
ab tak hai magar dil mein wahi teri mohabbat
rahti hai mere samne har dam teri surat
go wasl ki ummid tujhe saunp chuka hun
us par bhi teri yaad ka paband-e-wafa hun
kuchh aur bhi kahna hai magar teri raza se
ghoDe pe chalen sair ka kuchh lutf to aae
(2)
ye sun ke jabin jhuk gai us shoKH-ada ki
nazren bhi jhukin jin mein ra'unat thi bala ki
dekha jo zara meri taraf aankh uTha kar
kuchh aa hi gaya rahm mere haal-e-zabun par
puchho na kuchh us waqt dil-e-zar ka 'alam
itne mein hui mujh pe 'inayat ki barish
manzur hui meri ye chhoTi si guzarish
ab raKHsh par hum baiThenge wo hogi mere pas
qurbat se hamein hoga mohabbat ka bhi ehsas
us sa'at-e-nadir ko main samjhunga ghanimat
kya jaane ki aa jae usi roz qayamat
(3)
phir baiTh gai mere hi ghoDe pe wo tannaz
par lag gae dil ko bhi hua mail-e-parwaz
phir mujh ko mili meri wo gum-gashta jawani
mazi tha mere waste ab ek kahani
jo bit chuka mere liye bit chuka tha
kyon sochta yun karta to ho sakti thi ye baat
ab sud-o-ziyan ke the kahan dil mein KHayalat
ye kahiye ki qismat ne diya ab to mera sath
ja sakti thi warna wo mera chhoD ke bhi hath
kya mujh pe guzarni thi bigaD jata agar kaam
ab raKHsh pe baiThi hai mere sath wo gulfam
(4)
mana ki mila jo wo tamanna se hai kamtar
sab kuchh to nahin hota kisi ko bhi mayassar
mahbub ke pahlu mein ye kya kam thi sawari
us waqt meri ruh pe tha kaif sa tari
duniya ki har ek chiz thi raqsan mere aage
socha ki kiya karte hain sab log riyazat
kitne hain magar jin ke qadam chum le nusrat
takmil kahan pate hain duniya mein sabhi kaam
aaghaz to aasan hai dushwar hai anjam
socha tha hamesha wo mere pas rahegi
ab raKHsh pe hai sath chalo ye bhi hai kafi
(5)
hone ko to hote hain kai dil mein 'azaim
har 'azm ki takmil kahan hoti hai daim
ho lakh kisi kaam se insan ko lagawaT
kis kaam mein aati nahin darpesh rukawaT
sad-shukr ki ji bhar ke use dekh raha hun
leader ko zara dekhiye kya milta hai in'am
mar jaane pe chhap jaega aKHbar mein bas nam
jaanbaz sipahi ko ye hota hai mayassar
khodega pas-e-marg koi nam lahad par
leader ka hai ye haal sipahi ka ye anjam
main KHush hun ki donon se hai baDh kar mera in'am
(6)
ai qulzum-e-afkar mein Dube hue sha'ir
alfaz se tu she'r banane mein hai mahir
hai tera qalam husn-e-jahan-tab ka mazhar
de sakta hai jazbaat ko alfaz ka paikar
bhar deta hai alfaz ke paikar mein tarannum
mana ki baDi chiz hai ye kaam hai mushkil
kya KHud bhi magar tujh ko hai ne'mat koi hasil
juz 'usrat-o-adbar tere pas hi kya hai
kya tishna-labi hi teri kawish ka sila hai
ye man liya zauq-e-suKHan se hun main 'ari
lekin teri qimat mein kahan aisi sawari
(7)
but-gar se kaho tu ne bhi ki fan ki 'ibaadat
rakhta hai fan-e-sang-tarashi mein mahaarat
'wenus' ka ye but jis ko samajhta hai tu shahkar
rakhta hai kashish is se to baDh kar wo tarahdar
is par bhi hai tu shad to kyon mujh ko ho afsos
ai mahir-e-mausiqi zara tujh se karun baat
is fan ki 'ibaadat mein hui waqf teri zat
afsos ki bas itni hi milti hai tujhe dad
kar sakta hai tu saz ki jhankar se dil shad
is par bhi ye mushkil ki badal jate hain me'yar
hai 'ishq ka ye faiz ki ham-dosh hai dil-dar
(8)
kya Thik hai insan ke liye us ko KHabar kya
manzur agar katib-e-taqdir ko hota
ho jati yahin wasl ki ne'mat bhi mayassar
lekin koi na-'aqibat-andesh ho kyunkar
insan ko andesha-e-'uqba bhi hai lazim
ho jata agar zist mein pura mera mansha
mil jati yahin mujh ko meri jaan-e-tamanna
'uqba ke liye phir koi rahta na sahaara
sad-shukr ki kashti se raha dur kinara
ho lene do ab raKHsh pe dam bhar mujhe mahzuz
mahbub bhi mahfuz hai 'uqba bhi hai mahfuz
(9)
KHamosh thi wo rashk-e-qamar ghairat-e-firdaus
mahaul tha mere liye ham-surat-e-firdaus
wo mah-laqa mujh se thi us waqt baghal-gir
aisi hi hua karti hai firdaus ki taswir
mumkin hai ki ban jaen ye lamhat dawami
baiThe hi rahen raKHsh pe ta-roz-e-qayamat
har waqt rahe samne wo chand si surat
arman bhi nikalte rahen hasrat bhi ho baqi
ban jaega firdaus yahi 'alam-e-KHaki
hogi na kabhi KHatm ye pur-lutf sawari
jannat bhi hamari hai ye duniya bhi hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.