ifshaa-e-raaz
apne 'ishq kā haal bayān karne kī
kabhī koshish bhī na karnā
kabhī bayān ho nahīñ saktā ki halkī narm havā
nā-dīda chupke-chupke bahtī jaatī hai
maiñ ne apnī mahbūb ko batā diyā - rāz-e-'ishq
maiñ ne us par khol diyā
apne dil kā sab haal kah Daalā
aur vo larzāñ-bar-andām sard ḳhauf se zard
uTh kar chalī ga.ī
aur jaise hī vo mere paas se uThī
ik musāfir kahīñ se aayā
nā-dīda chupke-chupke aaya
us ne ek aah bharī
aur merī mahbūb ko apnā kar liyā
apne 'ishq ka haal bayan karne ki
kabhi koshish bhi na karna
kabhi bayan ho nahin sakta ki halki narm hawa
na-dida chupke-chupke bahti jati hai
main ne apni mahbub ko bata diya - raaz-e-'ishq
main ne us par khol diya
apne dil ka sab haal kah Dala
aur wo larzan-bar-andam sard KHauf se zard
uTh kar chali gai
aur jaise hi wo mere pas se uThi
ek musafir kahin se aaya
na-dida chupke-chupke aaya
us ne ek aah bhari
aur meri mahbub ko apna kar liya
- Book : Word File by Mumtaz Iqbal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.