kahii.n ko.ii saada zindagii hai
ka.ī koī saada zindagī hai aur ek duniyā
shaffāf garm aur pur-masarrat
vahāñ shaam paḌe ek ham-sāya
baaḌ ke us paar ek laḌkī ko pukārtā hai
aur sirf shahd kī makkhiyāñ
ye maddham sargoshiyāñ sun saktī haiñ
magar ham zindagī guzārte haiñ zābtoñ aur mehnatoñ ke saath
aur ham malhūz rakhte haiñ apnī talḳh mulāqātoñ kī tamām rusūmāt
jab achānak ek be-niyāz jhoñkā
kaaT detā hai hamāre jumle ko shurū' hote hī
magar ham apnī duniyā kā koī mutabādil qubūl nahīñ kareñge
ye 'azīmushshān shahr hamāre alam aur hamārā in'ām
damaktī barf ke farāḳh dariyā
sūraj se mahrūm afsurda bāġhāt
aur taqrīban nā-qābil-e-samā'at shā'irī kī devī kī
āvāz kā iltibās
kai koi sada zindagi hai aur ek duniya
shaffaf garm aur pur-masarrat
wahan sham paDe ek ham-saya
baD ke us par ek laDki ko pukarta hai
aur sirf shahd ki makkhiyan
ye maddham sargoshiyan sun sakti hain
magar hum zindagi guzarte hain zabton aur mehnaton ke sath
aur hum malhuz rakhte hain apni talKH mulaqaton ki tamam rusumat
jab achanak ek be-niyaz jhonka
kaT deta hai hamare jumle ko shuru' hote hi
magar hum apni duniya ka koi mutabaadil qubul nahin karenge
ye 'azimushshan shahr hamare alam aur hamara in'am
damakti barf ke faraKH dariya
suraj se mahrum afsurda baghat
aur taqriban na-qabil-e-sama'at sha'iri ki dewi ki
aawaz ka iltibas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.