ka.ii savaalo.n ke javaab
kyā shai hai vo mard jis ke tālib haiñ
'auratoñ meñ
ḳhvāhish-e-āsūda ke ḳhāl-o-ḳhad
kyā shai hai vo aurteñ jis kā mutālba kartī haiñ
mardoñ se
ḳhvāhish-e-āsūda ke ḳhāl-o-ḳhad
nigāh-e-ulfat
mutavahhish kartī hai ki vo
ātish-e-āganda hai
lekin mulā.im fareb kī aañkh
chāhat ko ġhulām kar letī hai
mulā.im fareb aur sust buniyādī
'ishq ke sabse pyāre bhes sabse dilkash andāz
ko koī ḳhud ko
bas ek shādmānī kā pāband kar le
vo bāl-o-par-e-hayāt ko tārāj-e-talaf kartā hai
aur vo jo lazzat parrāñ ālam-e-bāl-afshānī meñ
chuum kar chhoḌ de us kā baserā
tulū'-e-āftāb-e-azal meñ hai
kya shai hai wo mard jis ke talib hain
'auraton mein
KHwahish-e-asuda ke KHal-o-KHad
kya shai hai wo aurten jis ka mutalba karti hain
mardon se
KHwahish-e-asuda ke KHal-o-KHad
nigah-e-ulfat
mutawahhish karti hai ki wo
aatish-e-aganda hai
lekin mulaim fareb ki aankh
chahat ko ghulam kar leti hai
mulaim fareb aur sust buniyaadi
'ishq ke sabse pyare bhes sabse dilkash andaz
ko koi KHud ko
bas ek shadmani ka paband kar le
wo baal-o-par-e-hayat ko taraj-e-talaf karta hai
aur wo jo lazzat parran aalam-e-baal-afshani mein
chum kar chhoD de us ka basera
tulu'-e-aftab-e-azal mein hai
- Book : Word File by Mumtaz Iqbal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.