ko.ii nahii.n suntaa
agarche havā.eñ shor machātī haiñ
siren ek tanhā ruuh kī tarah chīḳheñ
mārtī haiñ
phir bhī koī nahīñ suntā
kisī ne bhī havā kī chhat uḌā dene vaalī āvāz
nahīñ sunī
siren chīḳhtī chillātī haiñ
aur
aadmī havā ke liye ghuTā jaatā hai
havā jaisī mā'mūlī saadī sī shai ke liye
shāyad
ek 'azīm hastī ḳhatm ho jaa.e
koī shaḳhs nahīñ suntā
kisī ne bhī nahīñ sunā kisī ke kaan
par juuñ nahīñ reñgī
agarche hawaen shor machati hain
siren ek tanha ruh ki tarah chiKHen
marti hain
phir bhi koi nahin sunta
kisi ne bhi hawa ki chhat uDa dene wali aawaz
nahin suni
siren chiKHti chillati hain
aur
aadmi hawa ke liye ghuTa jata hai
hawa jaisi ma'muli sadi si shai ke liye
shayad
ek 'azim hasti KHatm ho jae
koi shaKHs nahin sunta
kisi ne bhi nahin suna kisi ke kan
par jun nahin rengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.