luknat
luknat mā'zūrī nahīñ
ye to ek tarz-e-guftugū hai
luknat ḳhāmoshī hai
jo dar aatī hai
lafz aur us ke mā'nā ke darmiyān
bilkul usī tarah jaise lūle-pan
kī ḳhāmoshī jo dar aatī hai
lafz aur ta'āmmul ke darmiyān
luknat zabān par muqaddam hai
yā muaḳhḳhar
ye sirf ek lahja hai
yā apne aap meñ ek zabān
ye savālāt aise haiñ
ki māhirīn-e-lissniyāt bhī haklāne lagte haiñ
ham haklāte haiñ to goyā
ham pesh karte haiñ qurbānī
ḳhudāvand-e-ma'ānī ke huzūr
tamām log jab luknat-zada hoñ
to luknat ban jaatī hai un kī mādarī zabān
jis tarah ab hamārā mu'āmla hai
shāyad ḳhudā bhī zarūr haklāyā hogā
us vaqt
jab us ne insān kī taḳhlīq kī hogī
yahī vaj.h hai ki insānoñ ke tamām alfāz
muḳhtalif-ul-ma'ānī haiñ
yahī vaj.h hai ki jo kuchh bhī vo kahtā hai
apnī 'ibādatoñ se le kar apne ahkāmāt tak
haklā kar kahtā hai
shā'irī kī tarah
luknat ma'zuri nahin
ye to ek tarz-e-guftugu hai
luknat KHamoshi hai
jo dar aati hai
lafz aur us ke ma'na ke darmiyan
bilkul usi tarah jaise lule-pan
ki KHamoshi jo dar aati hai
lafz aur ta'ammul ke darmiyan
luknat zaban par muqaddam hai
ya muaKHKHar
ye sirf ek lahja hai
ya apne aap mein ek zaban
ye sawalat aise hain
ki mahirin-e-lissniyat bhi haklane lagte hain
hum haklate hain to goya
hum pesh karte hain qurbani
KHudawand-e-ma'ani ke huzur
tamam log jab luknat-zada hon
to luknat ban jati hai un ki madari zaban
jis tarah ab hamara mu'amla hai
shayad KHuda bhi zarur haklaya hoga
us waqt
jab us ne insan ki taKHliq ki hogi
yahi wajh hai ki insanon ke tamam alfaz
muKHtalif-ul-ma'ani hain
yahi wajh hai ki jo kuchh bhi wo kahta hai
apni 'ibaadaton se le kar apne ahkaamat tak
hakla kar kahta hai
sha'iri ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.