maiñ untīs baras se yūñhī
ThanDe parbat par Dere Daale baiThā huuñ
kal jo gayā maiñ
apne dostoñ aur yagānoñ se milne ko
tab mā'lūm huā ki aadhe
maut ke chashmoñ kī rāhoñ meñ kho.e ga.e haiñ
zindagī jaltī sham' kī sūrat
ghultī hai ghultī jaatī hai
nadī hai ye jis kā paanī
ek ravish par bahtā hai bahtā aayā hai
aaj faqat ye saaya merā
sāthī hai aur maiñ hairat se
aañsū kī do būñdeñ umDī dekh rahā huuñ
main untis baras se yunhi
ThanDe parbat par Dere Dale baiTha hun
kal jo gaya main
apne doston aur yaganon se milne ko
tab ma'lum hua ki aadhe
maut ke chashmon ki rahon mein khoe gae hain
zindagi jalti sham' ki surat
ghulti hai ghulti jati hai
nadi hai ye jis ka pani
ek rawish par bahta hai bahta aaya hai
aaj faqat ye saya mera
sathi hai aur main hairat se
aansu ki do bunden umDi dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.