'mar rahii hai merii zabaan' se iqtibaas
mar rahī hai merī zabān
kyoñ ki zinda rahnā chāhte haiñ
merī zabān ke log
zinda rahnā chāhte haiñ
merī zabān ke log
is shart pe bhī
ki zabān martī hai to mar jaa.e
kyā aadmī kā zinda rahnā
ziyāda zarūrī hai
yā zabān kaa?
haañ jāntā huuñ
aap kaheñge
is shart pe jo aadmī zinda rahegā
vo zinda to hogā
magar kyā vo aadmī hogā?
aap mujhe jazbātī karne kī koshish na karo
aap ḳhud batāo
ab jab
daane daane ke uupar
khāne vaale kā naam bhī
aap kā ḳhudā añgrezī meñ hī likhtā hai
to kaun se be-rahm vāldain chāheñge
ki un kā bachcha
ek Duub rahī zabān ke safīne pe baiThā rahe
jiitā rahe merā bachcha
martī hai to mar jaa.e
aap kī būḌhī zabān!
mar rahi hai meri zaban
kyon ki zinda rahna chahte hain
meri zaban ke log
zinda rahna chahte hain
meri zaban ke log
is shart pe bhi
ki zaban marti hai to mar jae
kya aadmi ka zinda rahna
ziyaada zaruri hai
ya zaban ka?
han jaanta hun
aap kahenge
is shart pe jo aadmi zinda rahega
wo zinda to hoga
magar kya wo aadmi hoga?
aap mujhe jazbaati karne ki koshish na karo
aap KHud batao
ab jab
dane dane ke upar
khane wale ka nam bhi
aap ka KHuda angrezi mein hi likhta hai
to kaun se be-rahm waldain chahenge
ki un ka bachcha
ek Dub rahi zaban ke safine pe baiTha rahe
jita rahe mera bachcha
marti hai to mar jae
aap ki buDhi zaban!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.