miraa safar to kaThin safar hai
mirā safar to kaThin safar hai
tavīl muddat lagegī is meñ
maiñ raushnī kī shu'ā'-e-avval ke rath pe ho kar savār aayā
safar ye jaarī rakhā hai maiñ ne
tamām duniyāoñ ke bayābānoñ jangaloñ meñ
bahut se sayyāroñ aur sitāroñ pe
chhoḌ aayā nuqūsh-e-pā maiñ
jo rāsta sab se duur kā hai
mujhe tirā qurb 'atā karegā
yahī to vo saḳht tarbiyat hai
jo mere naġhme kī sādgī kā surāġh degī
'ajīb hai ye musāfirat bhī
yahāñ musāfir ko
ajnabī chaukhaToñ pe
dastak hī dete dete
pahuñchnā hogā ḳhud apne dar par
hameñ to dil ke sanam-kade tak
rasā.ī paane kī aarzū meñ
haiñ jitne 'ālam varā-e-bātin
tavāf karnā paḌegā un kā
mirī nigāheñ bhaTak rahī thiiñ
chahār jānib
bas is se pahle ki maiñ ne
āñkhoñ ko band kar ke
kiyā thā iqrār
tū yahāñ hai
tirā ye kahnā ki maiñ huuñ
be-shak
yaqīñ kā ik sail-e-be-karāñ thā
ki us meñ mere savāl saare
tamām chīḳheñ
hazār chashmoñ ke ashk ban kar
pighal ga.e haiñ
mera safar to kaThin safar hai
tawil muddat lagegi is mein
main raushni ki shu'a'-e-awwal ke rath pe ho kar sawar aaya
safar ye jari rakha hai main ne
tamam duniyaon ke bayabanon jangalon mein
bahut se sayyaron aur sitaron pe
chhoD aaya nuqush-e-pa main
jo rasta sab se dur ka hai
mujhe tera qurb 'ata karega
yahi to wo saKHt tarbiyat hai
jo mere naghme ki sadgi ka suragh degi
'ajib hai ye musafirat bhi
yahan musafir ko
ajnabi chaukhaTon pe
dastak hi dete dete
pahunchna hoga KHud apne dar par
hamein to dil ke sanam-kade tak
rasai pane ki aarzu mein
hain jitne 'alam wara-e-baatin
tawaf karna paDega un ka
meri nigahen bhaTak rahi thin
chahaar jaanib
bas is se pahle ki main ne
aankhon ko band kar ke
kiya tha iqrar
tu yahan hai
tera ye kahna ki main hun
be-shak
yaqin ka ek sail-e-be-karan tha
ki us mein mere sawal sare
tamam chiKHen
hazar chashmon ke ashk ban kar
pighal gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.