mujhe hai bas intizaar is kaa
mujhe hai bas intizār is kā
ki maiñ mohabbat ko nazr kar duuñ
vujūd apnā
isī sabab se
bahut hī tāḳhīr ho ga.ī hai
ḳhatā hai merī hī
maiñ ye taslīm kar rahā huuñ
ye log duniyā ke zābtoñ meñ
mujhe jakaḌnā to chāhte haiñ
maiñ bhāgtā hī rahā huuñ in se
magar mujhe intizār ye hai
ki maiñ mohabbat ko nazr kar duuñ
vujūd apnā
haiñ log ilzām mujh ko dete
ki mujh ko parvā nahīñ zarā bhī
mujhe bhī is meñ nahīñ koī shak
ki log sach hī to kah rahe haiñ
hai vaqt bāzār kā nahīñ ab
jo bechte aur ḳharīdte the
gharoñ ko apne chale ga.e haiñ
mujhe bulāne jo aa.e the vo
ḳhafā ḳhafā se ga.e haiñ vāpas
mujhe hai bas intizār is kā
ki maiñ mohabbat ko nazr kar duuñ
mujhe hai bas intizar is ka
ki main mohabbat ko nazr kar dun
wujud apna
isi sabab se
bahut hi taKHir ho gai hai
KHata hai meri hi
main ye taslim kar raha hun
ye log duniya ke zabton mein
mujhe jakaDna to chahte hain
main bhagta hi raha hun in se
magar mujhe intizar ye hai
ki main mohabbat ko nazr kar dun
wujud apna
hain log ilzam mujh ko dete
ki mujh ko parwa nahin zara bhi
mujhe bhi is mein nahin koi shak
ki log sach hi to kah rahe hain
hai waqt bazar ka nahin ab
jo bechte aur KHaridte the
gharon ko apne chale gae hain
mujhe bulane jo aae the wo
KHafa KHafa se gae hain wapas
mujhe hai bas intizar is ka
ki main mohabbat ko nazr kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.