naadaanii
Interesting Fact
(پوپ کی نظم HUMAN FOLLy کا ترجمہ)
jis qadar bhī 'ilm yā daulat kisī ke paas hai
apnī yaktā.ī kā utnā hī use ehsās hai
ḳhush hai daanā vo samajhtā hai ki huuñ dānā-e-rāz
ahl-e-sarvat ko to apne māl-o-zar par naaz hai
be-navā ḳhush hai ki ḳhud us kā ḳhudā dam-sāz hai
dekhiye mastī meñ kaise raqs kartā hai gadā
ek dīvāna bhī hai apnī jagah farmāñ-ravā
kīmiyā-gar chāhe muflis kyoñ na ho masrūr hai
shā'ir-e-ġhamgīñ bhī she'roñ ke nashe meñ chuur hai
jis ko dekho us ke dil meñ ik ḳhayāl-e-ḳhām hai
dekhiye kitnā takabbur is jahāñ meñ 'aam hai
aadmī rahtā hai aksar ek jazbe kā shikār
ik faqat ummīd par hai zindagī kā inhisār
ek bachcha gudgudāne se bhī ḳhush ho jā.egā
ek mā'mūlī khilaunā us kā dil bahalā.egā
phir javānī meñ koī ḳhush-tar khilaunā chāhiye
ye khilaunā kuchh pasandīda bhī honā chāhiye
chāhtā hai aur aage jā ke vo atlas harīr
yā koī tasbīh le kar kheltā hai mard-e-pīr
al-ġharaz har vaqt us ke dil ko bahlātā hai khel
thak ke rah jaatā hai āḳhir ḳhatm ho jaatā hai khel
jis qadar bhi 'ilm ya daulat kisi ke pas hai
apni yaktai ka utna hi use ehsas hai
KHush hai dana wo samajhta hai ki hun dana-e-raaz
ahl-e-sarwat ko to apne mal-o-zar par naz hai
be-nawa KHush hai ki KHud us ka KHuda dam-saz hai
dekhiye masti mein kaise raqs karta hai gada
ek diwana bhi hai apni jagah farman-rawa
kimiya-gar chahe muflis kyon na ho masrur hai
sha'ir-e-ghamgin bhi she'ron ke nashe mein chur hai
jis ko dekho us ke dil mein ek KHayal-e-KHam hai
dekhiye kitna takabbur is jahan mein 'am hai
aadmi rahta hai aksar ek jazbe ka shikar
ek faqat ummid par hai zindagi ka inhisar
ek bachcha gudgudane se bhi KHush ho jaega
ek ma'muli khilauna us ka dil bahalaega
phir jawani mein koi KHush-tar khilauna chahiye
ye khilauna kuchh pasandida bhi hona chahiye
chahta hai aur aage ja ke wo atlas harir
ya koi tasbih le kar khelta hai mard-e-pir
al-gharaz har waqt us ke dil ko bahlata hai khel
thak ke rah jata hai aaKHir KHatm ho jata hai khel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.