naghma-e-tagore
Interesting Fact
This poem by Majaz is actually an Urdu translation of Tagore's poem 'Gardner 57'. This translation is also included in Majaz's first poetry collection Aahang.
maiñ ne hañgām-e-sub.h ai duniyā
tere gulshan se ek gul toḌā
apne siine pe dī jagah us ko
chubh gayā dil meñ lekin ik kāñTā
shaam hote hī maiñ ne ye dekhā
gul thā pazhmurda dard baaqī thā
husn-o-ḳhushbū meñ ik se ik baḌh kar
aur bhī hoñge tujh meñ gul paidā
merī gul-chīniyoñ kā vaqt magar
ek muddat huī ki ḳhatm huā
aur ab jab ki raat taarī hai
gul nahīñ paas dard baaqī hai
main ne hangam-e-subh ai duniya
tere gulshan se ek gul toDa
apne sine pe di jagah us ko
chubh gaya dil mein lekin ek kanTa
sham hote hi main ne ye dekha
gul tha pazhmurda dard baqi tha
husn-o-KHushbu mein ek se ek baDh kar
aur bhi honge tujh mein gul paida
meri gul-chiniyon ka waqt magar
ek muddat hui ki KHatm hua
aur ab jab ki raat tari hai
gul nahin pas dard baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.