saamaan girne kaa KHatra
ka.ī baar aisā huā hai ki
kisī imārat kī iiñT
ek mazdūr ke kandhe se cement kā borā
yā lohe kī chādar crane ke hook se
phisal kar nīche gir jaatī hai
kuchh dard insān ko hamesha ke liye pareshān kar dete haiñ
is liye mujhe haq do ki
mere andar itnā Dar ho
ki jab bhī maiñ tumheñ gale lagā.ūñ
tumhāre jhumke ke hilne kī āvāz se
Dar jā.ūñ
kai bar aisa hua hai ki
kisi imarat ki inT
ek mazdur ke kandhe se cement ka bora
ya lohe ki chadar crane ke hook se
phisal kar niche gir jati hai
kuchh dard insan ko hamesha ke liye pareshan kar dete hain
is liye mujhe haq do ki
mere andar itna Dar ho
ki jab bhi main tumhein gale lagaun
tumhaare jhumke ke hilne ki aawaz se
Dar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.