saffaak raat aatii hai chupke chupke
saffāk raat aatī hai chupke chupke
be-sakat jism kī kamzor bandishoñ ko toḌtī huī
dil meñ dāḳhil ho jaatī hai
chhīntī rahtī hai zindagī kī qadr-o-qīmat ko
tārīkī kī yūrish se dil haar maan letā hai
haar kī ye sharm aur ḳhastagī-o-darmāñdagī kī ye tauhīn
jab bahut baḌh jaatī haiñ to āchānak ufuq par nazar aatā hai
din kā jhanDā sunahrī kirnoñ se munaqqash
ākāsh ke kisī duur darāz markaz se jaise
ek dhun uThtī hai jhuuT jhuuT kahtī huī
tulū'-e-sub.h kī pur-nashāt raushnī meñ
ġham ko jītne vaalī mūrat dekhtā huuñ apne
ḳhasta jism ke qil'e ke mīnār par
saffak raat aati hai chupke chupke
be-sakat jism ki kamzor bandishon ko toDti hui
dil mein daKHil ho jati hai
chhinti rahti hai zindagi ki qadr-o-qimat ko
tariki ki yurish se dil haar man leta hai
haar ki ye sharm aur KHastagi-o-darmandagi ki ye tauhin
jab bahut baDh jati hain to aachanak ufuq par nazar aata hai
din ka jhanDa sunahri kirnon se munaqqash
aakash ke kisi dur daraaz markaz se jaise
ek dhun uThti hai jhuT jhuT kahti hui
tulu'-e-subh ki pur-nashat raushni mein
gham ko jitne wali murat dekhta hun apne
KHasta jism ke qil'e ke minar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.