sanaa-o-tasbiih tark kar de
sanā-o-tasbīh tark kar de
ye kis kī taqdīs ho rahī hai
tū jis ko mā'bad samajh rahā hai
kisī bhī mahbas se kam nahīñ hai
tū apnī āñkheñ tū khol nādāñ
ki terā mā'būd sāmne hai
jahāñ pe dahqāñ kā hal hai chaltā
vahīñ pe maujūd vo milegā
jahāñ pe patthar ke kūTne meñ
ġharīb mazdūr kā pasīna
mudām ghultā hī jā rahā hai
vahāñ bhī jalva usī kā hogā
vo saḳht garmī kī dhuup ho
yā phuvār sāvan kī paḌ rahī ho
libās tum us kā dekhte ho
qadam se sar tak hai gard oḌhe
utāro taqdīs kā libāda
shi'ār apnāo rāstī kā
tum us ke jaisā to ban ke dekho
zamīñ par aao
najāt āḳhir kahāñ milegī
hamāre aaqā ne
ḳhud hī kāñdhoñ pe rakh liyā hai
juā jo taḳhlīq kā ye hañs kar
to bañdh gayā hai hamāre dāman se
tā-qayāmat
murāqabe se ab aao bāhar
uThā ke rakkho ye ‘ūd-o-ambar
huā hī kyā jo tumhārī poshāk
jā-ba-jā se masak ga.ī hai
ki daaġh dhabboñ se bhar ga.ī hai
milo tum us se
jo jāñ-fishānī vo kar rahā hai
pasīna apnā bahā rahā hai
hai saath denā hameñ usī kā
sana-o-tasbih tark kar de
ye kis ki taqdis ho rahi hai
tu jis ko ma'bad samajh raha hai
kisi bhi mahbas se kam nahin hai
tu apni aankhen tu khol nadan
ki tera ma'bud samne hai
jahan pe dahqan ka hal hai chalta
wahin pe maujud wo milega
jahan pe patthar ke kuTne mein
gharib mazdur ka pasina
mudam ghulta hi ja raha hai
wahan bhi jalwa usi ka hoga
wo saKHt garmi ki dhup ho
ya phuwar sawan ki paD rahi ho
libas tum us ka dekhte ho
qadam se sar tak hai gard oDhe
utaro taqdis ka libaada
shi'ar apnao rasti ka
tum us ke jaisa to ban ke dekho
zamin par aao
najat aaKHir kahan milegi
hamare aaqa ne
KHud hi kandhon pe rakh liya hai
jua jo taKHliq ka ye hans kar
to bandh gaya hai hamare daman se
ta-qayamat
muraqabe se ab aao bahar
uTha ke rakkho ye ‘ud-o-ambar
hua hi kya jo tumhaari poshak
ja-ba-ja se masak gai hai
ki dagh dhabbon se bhar gai hai
milo tum us se
jo jaan-fishani wo kar raha hai
pasina apna baha raha hai
hai sath dena hamein usi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.