Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

savaaneh

Arun Kolatkar

savaaneh

Arun Kolatkar

MORE BYArun Kolatkar

    naal meñ gāñTh de kar daa.ī ne kahā

    peḌe khilāo bha.ī peḌe khilāo

    kaan lau meñ suuī chubho kar sunār ne kahā

    do rūpye hue do rūpye

    baazū par Tiika lagā kar nurse ne kahā

    bilkul dard nahīñ hogā bilkul

    phunnū ko naap kar bablū ne kahā

    tere se merā baḌā hai tere se

    piiTh meñ ghūñsa lagā kar bablū ne kahā

    tere aur mere baap kushtī huī to

    Thokar maar kar bablū ne kahā

    rotī sūrat kahīñ ke rotī sūrat

    Taañg meñ Taañg phañsā kar banno ne kahā

    cycle cycle kheleñge cycle cycle

    naaf par thuuk lagā kar banno ne kahā

    doctor doctor kheleñge doctor doctor

    raan meñ chuTkī le kar banno ne kahā

    lihāf meñ aa jaao lihāf meñ

    sar par chapat lagā kar ek master ne kahā

    sañtīs Dhayyā kitne sañtīs Dhayyā

    kaan aiñTh kar ek master ne kahā

    sheffield shahr kahāñ hai sheffield

    raan par haath pher kar ek master ne kahā

    amrā.ī meñ chalo amrā.ī meñ

    gardan ghumā kar naa.ī ne kahā

    hilnā nahīñ sāhib hilnā nahīñ

    siine se tape lagā kar darzī ne kahā

    iktīs inch sirf iktīs inch

    paañv ko juute meñ ghuseḌ kar mochī ne kahā

    pahan-pahan kar Dhīlā ho jā.egā pahan-pahan kar

    piiTh par lad kar bachche ne kahā

    ghoḌe ghoḌe Tik-Tik ghoḌe ghoḌe

    peT meñ paañv de kar boss ne kahā

    koī ilaaj nahīñ mister koī ilaaj nahīñ

    pakaḌ kar biivī ne kahā

    kaaT Dālūñgī ek din kaaT Dālūñgī

    fote par light Daal kar ek doctor ne kahā

    hydrocele yaqīnan hydrocele

    pair meñ pin chubho kar ek doctor ne kahā

    leprosy yaqīnan leprosy

    peT ko thapthapā kar ek doctor ne kahā

    ulcer ulcer yaqīnan ulcer

    paañv ko Thokar lagā kar ek ne kahā

    sorry yaar sorry

    āñkhoñ meñ chhātā bhoñk kar ek ne kahā

    muaaf karnā bhaa.ī muaaf karnā

    jism par Truck chaḌhā kar ek ne kahā

    dikhtā nahīñ mādarchod dikhtā nahīñ

    nal mein ganTh de kar dai ne kaha

    peDe khilao bhai peDe khilao

    kan ki lau mein sui chubho kar sunar ne kaha

    do rupye hue do rupye

    bazu par Tika laga kar nurse ne kaha

    bilkul dard nahin hoga bilkul

    phunnu ko nap kar bablu ne kaha

    tere se mera baDa hai tere se

    piTh mein ghunsa laga kar bablu ne kaha

    tere aur mere bap ki kushti hui to

    Thokar mar kar bablu ne kaha

    roti surat kahin ke roti surat

    Tang mein Tang phansa kar banno ne kaha

    cycle cycle khelenge cycle cycle

    naf par thuk laga kar banno ne kaha

    doctor doctor khelenge doctor doctor

    ran mein chuTki le kar banno ne kaha

    lihaf mein aa jao lihaf mein

    sar par chapat laga kar ek master ne kaha

    santis Dhayya kitne santis Dhayya

    kan ainTh kar ek master ne kaha

    sheffield shahr kahan hai sheffield

    ran par hath pher kar ek master ne kaha

    amrai mein chalo amrai mein

    gardan ghuma kar nai ne kaha

    hilna nahin sahib hilna nahin

    sine se tape laga kar darzi ne kaha

    iktis inch sirf iktis inch

    panw ko jute mein ghuseD kar mochi ne kaha

    pahan-pahan kar Dhila ho jaega pahan-pahan kar

    piTh par lad kar bachche ne kaha

    ghoDe ghoDe Tik-Tik ghoDe ghoDe

    peT mein panw de kar boss ne kaha

    koi ilaj nahin mister koi ilaj nahin

    pakaD kar biwi ne kaha

    kaT Dalungi ek din kaT Dalungi

    fote par light Dal kar ek doctor ne kaha

    hydrocele yaqinan hydrocele

    pair mein pin chubho kar ek doctor ne kaha

    leprosy yaqinan leprosy

    peT ko thapthapa kar ek doctor ne kaha

    ulcer ulcer yaqinan ulcer

    panw ko Thokar laga kar ek ne kaha

    sorry yar sorry

    aankhon mein chhata bhonk kar ek ne kaha

    muaf karna bhai muaf karna

    jism par Truck chaDha kar ek ne kaha

    dikhta nahin madarchod dikhta nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now