sirf ek baar kah do
sirf ek baar kah do
chehre par baġhair kisī aisī parchhā.īñ ke
jis se ye zāhir ho ki ek hazār choroñ ko phāñsī
kī sazā kā 'ilm ho gayā hai
sirf ek baar kah do qadam jamā kar mutarannim āvāz ke saath
aisī gambhīr āvāz ke saath jo ek buland girjā-ghar ke
ghanToñ se murta’ish hotī hai
aise girjā-ghar se jo bahut 'azīmushshān ho
aur jis ke kalas ke atrāf bādaloñ se muqaddas
haala banā huā ho
kah do ye muzhda sunā do
ki kal aane vaalā hai
āḳhirash kal aa.egā
sirf ek bar kah do
chehre par baghair kisi aisi parchhain ke
jis se ye zahir ho ki ek hazar choron ko phansi
ki saza ka 'ilm ho gaya hai
sirf ek bar kah do qadam jama kar mutarannim aawaz ke sath
aisi gambhir aawaz ke sath jo ek buland girja-ghar ke
ghanTon se murta’ish hoti hai
aise girja-ghar se jo bahut 'azimushshan ho
aur jis ke kalas ke atraf baadalon se muqaddas
haala bana hua ho
kah do ye muzhda suna do
ki kal aane wala hai
aaKHirash kal aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.