sochaa thaa mai.n ne to yahii
sochā thā maiñ ne to yahī
hai ḳhatm ab merā safar
itnī hī thī mujh meñ sakat
aur raah ab masdūd hai
zād-e-safar bhī ḳhatm hai
aur vaqt vo aayā hai ab
ḳhāmosh gumnāmī hī hai
merī panāh
par aisā lagtā hai mujhe
tujh ko hī is kā 'ilm hai
merī nahīñ hai intihā
jitne purāne lafz haiñ
dam toḌte haiñ lab pe jab
dil kī tahoñ se phuuT kar
naġhme nikalte haiñ na.e
aur jab purāne rāste
kho jaa.eñ ḳhāk-o-gard meñ
to mulk phir koī nayā
apne 'ajā.ib ko liye
khiltā hai rū-e-arz par
socha tha main ne to yahi
hai KHatm ab mera safar
itni hi thi mujh mein sakat
aur rah ab masdud hai
zad-e-safar bhi KHatm hai
aur waqt wo aaya hai ab
KHamosh gumnami hi hai
meri panah
par aisa lagta hai mujhe
tujh ko hi is ka 'ilm hai
meri nahin hai intiha
jitne purane lafz hain
dam toDte hain lab pe jab
dil ki tahon se phuT kar
naghme nikalte hain nae
aur jab purane raste
kho jaen KHak-o-gard mein
to mulk phir koi naya
apne 'ajaib ko liye
khilta hai ru-e-arz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.