tire 'ataa ne mujhe to davaam baKHsh diyaa
tire 'atā ne mujhe to davām baḳhsh diyā
tirā hai kitnā karam
ki bārhā mire kamzor zarf hastī ko
tū ḳhālī kartā hai
aur phir hayāt-e-tāza se
bhartā bhī tū hī rahtā hai
jo koh-o-dasht meñ
tū ne bikher rakkhī hai
har ek samt ye nannhī bāñsurī kī sadā
tirī hī saañs ke naġhmoñ kī hai mahak is meñ
ki tere haath ke ik lams-e-jāvedāñ ke tufail
milā hai dil ko mire vo surūr-e-be-pāyāñ
mire laboñ pe machalte haiñ jāñ-fazā naġhme
haiñ chhoTe haath mire kis tarah sameTeñge
tirī 'atāoñ ko jo be-hisāb haiñ yā-rab
zamāne aate haiñ jaate haiñ
mere dāman meñ
hamesha hotā hī rahtā tire karam kā nuzūl
ye zarf bhartā hī rahtā hai yūñhī sub.h-o-shām
ki tishnagī mirī har lamha baḌhtī jaatī hai
tere 'ata ne mujhe to dawam baKHsh diya
tera hai kitna karam
ki barha mere kamzor zarf hasti ko
tu KHali karta hai
aur phir hayat-e-taza se
bharta bhi tu hi rahta hai
jo koh-o-dasht mein
tu ne bikher rakkhi hai
har ek samt ye nannhi bansuri ki sada
teri hi sans ke naghmon ki hai mahak is mein
ki tere hath ke ek lams-e-jawedan ke tufail
mila hai dil ko mere wo surur-e-be-payan
mere labon pe machalte hain jaan-faza naghme
hain chhoTe hath mere kis tarah sameTenge
teri 'ataon ko jo be-hisab hain ya-rab
zamane aate hain jate hain
mere daman mein
hamesha hota hi rahta tere karam ka nuzul
ye zarf bharta hi rahta hai yunhi subh-o-sham
ki tishnagi meri har lamha baDhti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.