tire hukm-e-naGma-saraa.ii se
tire hukm-e-naġhma-sarā.ī se
mujhe ye huā hai gumāñ kabhī
ki kahīñ dhḌaknā na chhoḌ de
mirā dil hujūm-e-ġhurūr se
tire chehre ko maiñ huuñ dekhtā
mirī āñkheñ hotī haiñ ashk-bār
mirī zindagī kī musībateñ mire rāste kī aziyyateñ
sabhī sh’r-o-naġhma meñ Dhaltī haiñ
ye mirī 'aqīdat-e-be-panāh
hai misāl-e-tā.ir-e-shādmāñ
jo uḌaan bhartā hai paar dariyā ke jaane ko
vo paroñ ko apne hai kholtī
mujhe hai ḳhabar mire giit bhī
tire dil ko khīñchte rahte haiñ
mujhe hai yaqīn tire sāmne
maiñ jo aatā huuñ
to bas ik muġhannī hī rahtā huuñ
mire naġhmoñ ke be-kanār par
tire paañv chūmte haiñ dam-ba-dam
ye mirā nasīb kabhī na thā
hai kuchh aisā ‘ālam-e-be-ḳhudī
ki ḳhud apne naġhmoñ kī mastī meñ
maiñ tujhe hī dost pukār uThā
tū jo merā aaqā hai aur ḳhudā
tere hukm-e-naghma-sarai se
mujhe ye hua hai guman kabhi
ki kahin dhDakna na chhoD de
mera dil hujum-e-ghurur se
tere chehre ko main hun dekhta
meri aankhen hoti hain ashk-bar
meri zindagi ki musibaten mere raste ki aziyyaten
sabhi sh’r-o-naghma mein Dhalti hain
ye meri 'aqidat-e-be-panah
hai misal-e-tair-e-shadman
jo uDan bharta hai par dariya ke jaane ko
wo paron ko apne hai kholti
mujhe hai KHabar mere git bhi
tere dil ko khinchte rahte hain
mujhe hai yaqin tere samne
main jo aata hun
to bas ek mughanni hi rahta hun
mere naghmon ke be-kanar par
tere panw chumte hain dam-ba-dam
ye mera nasib kabhi na tha
hai kuchh aisa ‘alam-e-be-KHudi
ki KHud apne naghmon ki masti mein
main tujhe hi dost pukar uTha
tu jo mera aaqa hai aur KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.