tumhaare dar ke 'alaava ko.ii panaah nahii.n

tumhaare dar ke 'alaava ko.ii panaah nahii.n
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
tumhāre dar ke 'alāva koī panāh nahīñ
hamāre sar kī koī aur takiya-gāh nahīñ
'adū hai teġh-kashāñ aur maiñ sipar-andāz
ki mere paas koī teġh juz-ba-āh nahīñ
sharāb-ḳhāne se muñh moḌ luuñ to kyoñ āḳhir
sivā.e in ke kisī se bhī rasm-o-rāh nahīñ
jalānā chāhe jo duniyā mirā ye ḳhirman-e-jāñ
kaho jalā de ki hai kyā agar vo kaah nahīñ
lagām thaam ke chal bādshāh-e-kishvar-e-husn
hai kaun raah jahāñ koī dād-ḳhvāh nahīñ
har ek samt hai rāhoñ kā jaal phailā huā
tumhārī zulf se behtar koī panāh nahīñ
ḳhazīna-e-dil-e-'hāfiz' na zulf-o-ḳhāl ko sauñp
ki aise kaam ke qābil ye rū-siyāh nahīñ
tumhaare dar ke 'alawa koi panah nahin
hamare sar ki koi aur takiya-gah nahin
'adu hai tegh-kashan aur main sipar-andaz
ki mere pas koi tegh juz-ba-ah nahin
sharab-KHane se munh moD lun to kyon aaKHir
siwae in ke kisi se bhi rasm-o-rah nahin
jalana chahe jo duniya mera ye KHirman-e-jaan
kaho jala de ki hai kya agar wo kah nahin
lagam tham ke chal baadshah-e-kishwar-e-husn
hai kaun rah jahan koi dad-KHwah nahin
har ek samt hai rahon ka jal phaila hua
tumhaari zulf se behtar koi panah nahin
KHazina-e-dil-e-'hafiz' na zulf-o-KHal ko saunp
ki aise kaam ke qabil ye ru-siyah nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.