yaad-e-guzishta
shahr ek rūd-e-pur-ḳharosh ke kināre hai
apne bāġh-o-rāġh-o-nūr-bār-shab se pur-ḳharosh
aur us meñ merā dil
hai asīr-e-dām ek mard-e-pur-ġhurūr kā
ruud kā kinār jis ne us ke aur mere liye
apne bāzuoñ ko khol kar rakhā thā sālahā
jis ke sāhiloñ pe jis ke kunj kunj ke tale
us ne mere bosa-hā-e-lab churā.e bārhā
māhtāb hai gavāh
maiñ ne us ke sang-e-dil ko apne sehr-e-'ishq se
kaise narm kar diyā
māhtāb jāntā hai us nigah kī be-ruḳhī meñ
ashk-e-shauq kis tarah
jhilmilā uThā
be-karāñ samundaroñ meñ
ham ne ik safīne par safar kiyā
nīm-shab kī ḳhāmushī ko toḌ kar
aur hamārī bazm par
kī nujūm ne nazar
tifl kī tarah mire kinār meñ jo so gayā
maiñ ne apne lab rakhe the us kī band aañkh par
ġharq ho gayā jo pairahan mirā
us ne jhuk ke dast-e-āb se use chhuḌā liyā
aah aaj maiñ vahī huuñ aur ye ḳhalvat-o-sukūt
shahr-e-pur-ḳharosh tujh ko yaad kar rahī huuñ maiñ
jis se basta dil mirā hai tū use 'azīz rakh
us kī yaad se dil apnā shaad kar rahī huuñ maiñ
shahr ek rud-e-pur-KHarosh ke kinare hai
apne bagh-o-ragh-o-nur-bar-shab se pur-KHarosh
aur us mein mera dil
hai asir-e-dam ek mard-e-pur-ghurur ka
rud ka kinar jis ne us ke aur mere liye
apne bazuon ko khol kar rakha tha salaha
jis ke sahilon pe jis ke kunj kunj ke tale
us ne mere bosa-ha-e-lab churae barha
mahtab hai gawah
main ne us ke sang-e-dil ko apne sehr-e-'ishq se
kaise narm kar diya
mahtab jaanta hai us nigah ki be-ruKHi mein
ashk-e-shauq kis tarah
jhilmila uTha
be-karan samundaron mein
hum ne ek safine par safar kiya
nim-shab ki KHamushi ko toD kar
aur hamari bazm par
ki nujum ne nazar
tifl ki tarah mere kinar mein jo so gaya
main ne apne lab rakhe the us ki band aankh par
gharq ho gaya jo pairahan mera
us ne jhuk ke dast-e-ab se use chhuDa liya
aah aaj main wahi hun aur ye KHalwat-o-sukut
shahr-e-pur-KHarosh tujh ko yaad kar rahi hun main
jis se basta dil mera hai tu use 'aziz rakh
us ki yaad se dil apna shad kar rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.