zamiin tang ho rahii hai
zamīn tang ho rahī hai
hameñ āḳhirī rāste par dhakel rahī hai
is meñ se guzarne ke liye ham apnā ek ek uzv alag kar rahe haiñ
zamīn hameñ jakaḌ rahī hai
kaash ham gandum hote is zamīn par marte aur jī uThte
sochtā huuñ
kaash zamīn hamārī maañ hotī
ham par rahm khā saktī
ham jaate aur ḳhvāboñ ke saath pattharoñ par naqsh ho jaate
ā.inoñ kī tarah un ke chehroñ ko dekhte
jinheñ hamāre baa'd is zamīn ke liye jaan denī hai
ham un ke bachchoñ kī 'iid par rote haiñ
ham un ke chehre dekh rahe haiñ
jo hamāre bachchoñ ko khiḌkiyoñ se bāhar pheñkeñge āḳhirī ḳhalā meñ
hamārā sitārā ā.inoñ ko āvezāñ karegā
kahāñ jā.eñge ham vahāñ se
jahāñ sarhadeñ ḳhatm ho jā.eñgī
kahāñ parvāz kareñge parinde āḳhirī āsmān ke baa'd
kahāñ so.eñge āḳhirī āḳhirī havā meñ saañs lene ke baa'd
ham apne naam qurmuzī dhund se likheñge
ham apnī nazmoñ ke haath kaaT deñge
taaki un kā iḳhtitām hamārī jild par ho
yahīñ mareñge ham
isī āḳhirī rāste meñ
aur yahīñ hamāre ḳhuun meñ numū pā.eñge zaitūn ke daraḳht
zamin tang ho rahi hai
hamein aaKHiri raste par dhakel rahi hai
is mein se guzarne ke liye hum apna ek ek uzw alag kar rahe hain
zamin hamein jakaD rahi hai
kash hum gandum hote is zamin par marte aur ji uThte
sochta hun
kash zamin hamari man hoti
hum par rahm kha sakti
hum jate aur KHwabon ke sath pattharon par naqsh ho jate
aainon ki tarah un ke chehron ko dekhte
jinhen hamare ba'd is zamin ke liye jaan deni hai
hum un ke bachchon ki 'id par rote hain
hum un ke chehre dekh rahe hain
jo hamare bachchon ko khiDkiyon se bahar phenkenge aaKHiri KHala mein
hamara sitara aainon ko aawezan karega
kahan jaenge hum wahan se
jahan sarhaden KHatm ho jaengi
kahan parwaz karenge parinde aaKHiri aasman ke ba'd
kahan soenge aaKHiri aaKHiri hawa mein sans lene ke ba'd
hum apne nam qurmuzi dhund se likhenge
hum apni nazmon ke hath kaT denge
taki un ka iKHtitam hamari jild par ho
yahin marenge hum
isi aaKHiri raste mein
aur yahin hamare KHun mein numu paenge zaitun ke daraKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.