aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
rāsta sochte rahne se kidhar bantā hai
sar meñ saudā ho to dīvār meñ dar bantā hai
rasta sochte rahne se kidhar banta hai
sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai
vo zahr detā to sab kī nigah meñ aa jaatā
so ye kiyā ki mujhe vaqt pe davā.eñ na diiñ
wo zahr deta to sab ki nigah mein aa jata
so ye kiya ki mujhe waqt pe dawaen na din
zindagī kam paḌhe pardesī kā ḳhat hai 'ibrat'
ye kisī tarah paḌhā jaa.e na samjhā jaa.e
zindagi kam paDhe pardesi ka KHat hai 'ibrat'
ye kisi tarah paDha jae na samjha jae
kashtiyāñ sab kī kināre pe pahuñch jaatī haiñ
nāḳhudā jin kā nahīñ un kā ḳhudā hotā hai
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jati hain
naKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
hameñ bhī aaj hī karnā thā intizār us kā
use bhī aaj hī sab vaade bhuul jaane the
hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka
use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books