aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
mujh meñ saat samundar shor machāte haiñ
ek ḳhayāl ne dahshat phailā rakkhī hai
mujh mein sat samundar shor machate hain
ek KHayal ne dahshat phaila rakkhi hai
jaise do mulkoñ ko ik sarhad alag kartī huī
vaqt ne ḳhat aisā khīñchā mere us ke darmiyāñ
jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui
waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan
vāqi.a kuchh bhī ho sach kahne meñ rusvā.ī hai
kyuuñ na ḳhāmosh rahūñ ahl-e-nazar kahlā.ūñ
waqia kuchh bhi ho sach kahne mein ruswai hai
kyun na KHamosh rahun ahl-e-nazar kahlaun
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
vo kam-suḳhan thā magar aisā kam-suḳhan bhī na thā
ki sach hī boltā thā jab bhī boltā thā bahut
wo kam-suKHan tha magar aisa kam-suKHan bhi na tha
ki sach hi bolta tha jab bhi bolta tha bahut
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books