aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kyā usī kā naam hai ra.anā.ī-e-bazm-e-hayāt
tañg kamra sard bistar aur tanhā aadmī
kya usi ka nam hai ranai-e-bazm-e-hayat
tang kamra sard bistar aur tanha aadmi
kise kaheñ ki rifāqat kā daaġh hai dil par
bichhaḌne vaalā to khul kar kabhī milā hī na thā
kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par
bichhaDne wala to khul kar kabhi mila hi na tha
shaġhl-e-mai fart-e-ġham meñ kyā karte
is meñ thī duḳht-e-raz kī rusvā.ī
shaghl-e-mai fart-e-gham mein kya karte
is mein thi duKHt-e-raz ki ruswai
tumhāre paañv jis ḳhāshāk par paḌte haiñ ai hamdam
usī ḳhāshāk ko ham aañkh kā surma banāte haiñ
tumhaare panw jis KHashak par paDte hain ai hamdam
usi KHashak ko hum aankh ka surma banate hain
mahaz ḳhvāboñ ḳhayāloñ meñ tirā dīdār ho kab tak
haqīqat meñ bhī tujh se āshnā.ī chāhte haiñ ham
mahaz KHwabon KHayalon mein tera didar ho kab tak
haqiqat mein bhi tujh se aashnai chahte hain hum
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books