aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ab jis taraf se chāhe guzar jaa.e kārvāñ
vīrāniyāñ to sab mire dil meñ utar ga.iiñ
ab jis taraf se chahe guzar jae karwan
viraniyan to sab mere dil mein utar gain
jab se aayā hai vo mukhḌā nazar ā.īne ko
tab se apnī bhī nahīñ hai ḳhabar ā.īne ko
jab se aaya hai wo mukhDa nazar aaine ko
tab se apni bhi nahin hai KHabar aaine ko
khiñchā khiñchā nazar aatā hai ham se har āñchal
sitāre toḌ ke laa.eñ to laa.eñ kis ke liye
khincha khincha nazar aata hai hum se har aanchal
sitare toD ke laen to laen kis ke liye
tum apne ḳhvāb bachā kar rakkho ki kal duniyā
tumhārī aañkh meñ jhāñke to zindagī dekhe
tum apne KHwab bacha kar rakkho ki kal duniya
tumhaari aankh mein jhanke to zindagi dekhe
kise sunā.eñge ab vo 'zākir' ki chāhatoñ meñ kashish nahīñ hai
nazar se ojhal maiñ ho rahā huuñ nigah se vo bhī to haT rahī hai
kise sunaenge ab wo 'zakir' ki chahaton mein kashish nahin hai
nazar se ojhal main ho raha hun nigah se wo bhi to haT rahi hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books