aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
maut aa jaa.e yā vo aa jaa.eñ
aaj qissa tamām ho jaa.e
maut aa jae ya wo aa jaen
aaj qissa tamam ho jae
zarā chashm-e-karam se dekh lo tum
sahārā DhūñDhtā huuñ zindagī kā
zara chashm-e-karam se dekh lo tum
sahaara DhunDhta hun zindagi ka
tere hāthoñ ne jo thāmā hai kisī aur kā haath
merī āñkhoñ ko yahī ek nazāra dukh hai
tere hathon ne jo thama hai kisi aur ka hath
meri aankhon ko yahi ek nazara dukh hai
mere hone se na honā hai mirā
aag jalne se dhuāñ ābād hai
mere hone se na hona hai mera
aag jalne se dhuan aabaad hai
merī sāñseñ bhī Thahar jaa.eñ qadam kyā haiñ huzūr
aap ik baar sadā to hameñ de kar dekheñ
meri sansen bhi Thahar jaen qadam kya hain huzur
aap ek bar sada to hamein de kar dekhen
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books