aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
donoñ kā milnā mushkil hai donoñ haiñ majbūr bahut
us ke paañv meñ mehñdī lagī hai mere paañv meñ chhāle haiñ
donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain
TuuT paḌtī thiiñ ghaTā.eñ jin kī āñkheñ dekh kar
vo bharī barsāt meñ tarse haiñ paanī ke liye
TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye
roz aapas meñ laḌā karte haiñ arbāb-e-ḳhirad
koī dīvāna ulajhtā nahīñ dīvāne se
roz aapas mein laDa karte hain arbab-e-KHirad
koi diwana ulajhta nahin diwane se
vahm-o-gumāñ ne aas bañdhā.ī tamām raat
aahaT ḳhirām-e-nāz kī aa.ī tamām raat
wahm-o-guman ne aas bandhai tamam raat
aahaT KHiram-e-naz ki aai tamam raat
us manzil-e-hayāt meñ ab gāmzan hai dil
'shiblī'! jahāñ kisī kī bhī āvāz-e-pā nahīñ
us manzil-e-hayat mein ab gamzan hai dil
'shibli'! jahan kisi ki bhi aawaz-e-pa nahin
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books