Hijr Shayari
If you are in a state of separation from the beloved, here are some verses for you. Reading them, you would be able to realise the pain and suffering that separation brings to lovers. Read these verses and experience the experience of separation. And also consider those who stay in this state and suffer silently.
aa.ī hogī kisī ko hijr meñ maut
mujh ko to niiñd bhī nahīñ aatī
aai hogi kisi ko hijr mein maut
mujh ko to nind bhi nahin aati
badan meñ jaise lahū tāziyāna ho gayā hai
use gale se lagā.e zamāna ho gayā hai
badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
-
Tags: Ishqand 3 more
tumhārā hijr manā luuñ agar ijāzat ho
maiñ dil kisī se lagā luuñ agar ijāzat ho
tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho
-
Tag: Ijazat
vo aa rahe haiñ vo aate haiñ aa rahe hoñge
shab-e-firāq ye kah kar guzār dī ham ne
wo aa rahe hain wo aate hain aa rahe honge
shab-e-firaq ye kah kar guzar di hum ne
jis kī āñkhoñ meñ kaTī thiiñ sadiyāñ
us ne sadiyoñ kī judā.ī dī hai
jis ki aankhon mein kaTi thin sadiyan
us ne sadiyon ki judai di hai
-
Tags: Intezarand 4 more
aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne
aap ke saath hī guzārī hai
aap ke baad har ghaDi hum ne
aap ke sath hi guzari hai
-
Tags: Ishqand 4 more
milnā thā ittifāq bichhaḌnā nasīb thā
vo utnī duur ho gayā jitnā qarīb thā
milna tha ittifaq bichhaDna nasib tha
wo utni dur ho gaya jitna qarib tha
-
Tags: Ishqand 3 more
is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī kī
aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī kī
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
-
Tags: Bewafaiand 2 more
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrātā huuñ maiñ
jaise har shai meñ kisī shai kī kamī paatā huuñ maiñ
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main
jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
-
Tags: Bechainiand 2 more
tum se bichhaḌ kar zinda haiñ
jaan bahut sharminda haiñ
tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
-
Tags: Famous shayariand 5 more
kab Thahregā dard ai dil kab raat basar hogī
sunte the vo ā.eñge sunte the sahar hogī
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
-
Tags: Dardand 2 more
bahut dinoñ meñ mohabbat ko ye huā ma.alūm
jo tere hijr meñ guzrī vo raat raat huī
bahut dinon mein mohabbat ko ye hua malum
jo tere hijr mein guzri wo raat raat hui
-
Tags: Famous shayariand 3 more
ham kahāñ aur tum kahāñ jānāñ
haiñ ka.ī hijr darmiyāñ jānāñ
hum kahan aur tum kahan jaanan
hain kai hijr darmiyan jaanan
rote phirte haiñ saarī saarī raat
ab yahī rozgār hai apnā
rote phirte hain sari sari raat
ab yahi rozgar hai apna
-
Tags: Girya-o-zariand 1 more
kuchh ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirī yaad meñ bedār rahā
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone wale
raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha
-
Tags: Bedaarand 2 more
ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ
aise bhī haiñ ki kaT na sakī jin se ek raat
ek umr kaT gai hai tere intizar mein
aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat
kitnā āsāñ thā tire hijr meñ marnā jānāñ
phir bhī ik umr lagī jaan se jaate jaate
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan
phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate
yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhair
jaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
yun zindagi guzar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
-
Tags: Gunahand 1 more
kyuuñ hijr ke shikve kartā hai kyuuñ dard ke rone rotā hai
ab ishq kiyā to sabr bhī kar is meñ to yahī kuchh hotā hai
kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai
-
Tags: Dardand 2 more
do ghaḌī us se raho duur to yuuñ lagtā hai
jis tarah sāya-e-dīvār se dīvār judā
do ghaDi us se raho dur to yun lagta hai
jis tarah saya-e-diwar se diwar juda
-
Tags: Ishqand 2 more
mar jaatā huuñ jab ye sochtā huuñ
maiñ tere baġhair jī rahā huuñ
mar jata hun jab ye sochta hun
main tere baghair ji raha hun
mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāre
mirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna
meri zindagi to guzri tere hijr ke sahaare
meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana
-
Tags: Bahanaand 2 more
firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakkhā
kabhī takiya idhar rakkhā kabhī takiya udhar rakkhā
firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha
kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya udhar rakkha
-
Tag: Judai
guzar to jā.egī tere baġhair bhī lekin
bahut udaas bahut be-qarār guzregī
guzar to jaegi tere baghair bhi lekin
bahut udas bahut be-qarar guzregi
vasl ho yā firāq ho 'akbar'
jāgnā raat bhar musībat hai
whether in blissful union or in separation
staying up all night, is a botheration
wasl ho ya firaq ho 'akbar'
jagna raat bhar musibat hai
whether in blissful union or in separation
staying up all night, is a botheration
-
Tags: Neendand 1 more
ḳhudā kare ki tirī umr meñ gine jaa.eñ
vo din jo ham ne tire hijr meñ guzāre the
KHuda kare ki teri umr mein gine jaen
wo din jo hum ne tere hijr mein guzare the
'farāz' ishq kī duniyā to ḳhūb-sūrat thī
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visāl rakkhā hai
'faraaz' ishq ki duniya to KHub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai
-
Tags: Ishqand 2 more
tum nahīñ paas koī paas nahīñ
ab mujhe zindagī kī aas nahīñ
tum nahin pas koi pas nahin
ab mujhe zindagi ki aas nahin
-
Tags: Ishqand 2 more
ba-zāhir ek hī shab hai firāq-e-yār magar
koī guzārne baiThe to umr saarī lage
ba-zahir ek hi shab hai firaq-e-yar magar
koi guzarne baiThe to umr sari lage
-
Tag: Judai
ḳhud chale aao yā bulā bhejo
raat akele basar nahīñ hotī
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
lagī rahtī hai ashkoñ kī jhaḌī garmī ho sardī ho
nahīñ ruktī kabhī barsāt jab se tum nahīñ aa.e
lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae
-
Tags: Aansooand 2 more
mumkina faisloñ meñ ek hijr kā faisla bhī thā
ham ne to ek baat kī us ne kamāl kar diyā
mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
us se milne kī ḳhushī ba.ad meñ dukh detī hai
jashn ke ba.ad kā sannāTā bahut khaltā hai
us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai
jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai
jo ġhazal aaj tire hijr meñ likkhī hai vo kal
kyā ḳhabar ahl-e-mohabbat kā tarāna ban jaa.e
jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal
kya KHabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae
ik Tiis jigar meñ uThtī hai ik dard sā dil meñ hotā hai
ham raat ko royā karte haiñ jab saarā aalam sotā hai
ek Tis jigar mein uThti hai ek dard sa dil mein hota hai
hum raat ko roya karte hain jab sara aalam sota hai
-
Tag: Famous shayari
aaj na jaane raaz ye kyā hai
hijr kī raat aur itnī raushan
aaj na jaane raaz ye kya hai
hijr ki raat aur itni raushan
-
Tag: Raat
mirī nazar meñ vahī mohnī sī mūrat hai
ye raat hijr kī hai phir bhī ḳhūb-sūrat hai
meri nazar mein wahi mohni si murat hai
ye raat hijr ki hai phir bhi KHub-surat hai
tujh bin saarī umr guzārī
log kaheñge tū merā thā
tujh bin sari umr guzari
log kahenge tu mera tha
chuuñ sham-e-sozāñ chuuñ zarra hairāñ ze mehr-e-āñ-mah bagashtam āḳhir
na niiñd naināñ na añg chaināñ na aap aave na bheje patiyāñ
chun sham-e-sozan chun zarra hairan ze mehr-e-an-mah bagashtam aaKHir
na nind nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan
-
Tags: Famous shayariand 3 more
ma.alūm thiiñ mujhe tirī majbūriyāñ magar
tere baġhair niiñd na aa.ī tamām raat
malum thin mujhe teri majburiyan magar
tere baghair nind na aai tamam raat
shabān-e-hijrāñ darāz chuuñ zulf roz-e-vaslat chū umr kotāh
sakhī piyā ko jo maiñ na dekhūñ to kaise kāTūñ añdherī ratiyāñ
shaban-e-hijran daraaz chun zulf roz-e-waslat chu umr kotah
sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise kaTun andheri ratiyan
-
Tags: Famous shayariand 2 more
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se ham ko kyā matlab ye kaise ho ye kyūñkar ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
-
Tags: Dardand 1 more
'munīr' achchhā nahīñ lagtā ye terā
kisī ke hijr meñ bīmār honā
'munir' achchha nahin lagta ye tera
kisi ke hijr mein bimar hona
tāroñ kā go shumār meñ aanā muhāl hai
lekin kisī ko niiñd na aa.e to kyā kare
taron ka go shumar mein aana muhaal hai
lekin kisi ko nind na aae to kya kare
milne kī ye kaun ghaḌī thī
bāhar hijr kī raat khaḌī thī
milne ki ye kaun ghaDi thi
bahar hijr ki raat khaDi thi
tire aane kā dhokā sā rahā hai
diyā sā raat bhar jaltā rahā hai
tere aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
-
Tag: Intezar
niiñd aatī nahīñ to subah talak
gard-e-mahtāb kā safar dekho
nind aati nahin to subah talak
gard-e-mahtab ka safar dekho
kisī ke hijr meñ jiinā muhāl ho gayā hai
kise batā.eñ hamārā jo haal ho gayā hai
kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
kise bataen hamara jo haal ho gaya hai
-
Tag: Judai
ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
kabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
ye hum jo hijr mein diwar-o-dar ko dekhte hain
kabhi saba ko kabhi nama-bar ko dekhte hain
-
Tag: Intezar
tirā vasl hai mujhe be-ḳhudī tirā hijr hai mujhe āgahī
tirā vasl mujh ko firāq hai tirā hijr mujh ko visāl hai
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
-
Tags: Aagahiand 2 more