aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
tujh ko tirī hī aañkh se dekh rahī hai kā.enāt
baat ye raaz kī nahīñ apnā ḳhud ehtirām kar
tujh ko teri hi aankh se dekh rahi hai kaenat
baat ye raaz ki nahin apna KHud ehtiram kar
ye intizār na Thahrā koī balā Thahrī
kisī kī jaan ga.ī aap kī adā Thahrī
ye intizar na Thahra koi bala Thahri
kisi ki jaan gai aap ki ada Thahri
sun chuke jab haal merā le ke añgḌā.ī kahā
kis ġhazab kā dard zālim tere afsāne meñ thā
sun chuke jab haal mera le ke angDai kaha
kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha
ulfat meñ barābar hai vafā ho ki jafā ho
har baat meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
paañv jab simTe to raste bhī hue takiya-nashīñ
boriyā jab tah kiyā duniyā uThā kar le ga.e
panw jab simTe to raste bhi hue takiya-nashin
boriya jab tah kiya duniya uTha kar le gae
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books