aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
itnī tauhīn na kar merī balā-noshī kī
sāqiyā mujh ko na de maap ke paimāne se
itni tauhin na kar meri bala-noshi ki
saqiya mujh ko na de map ke paimane se
batāo tum se kahāñ rābta kiyā jaa.e
kabhī jo tum se zarūrat ho baat karne kī
batao tum se kahan rabta kiya jae
kabhi jo tum se zarurat ho baat karne ki
aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se
har adā achchhī ḳhamoshī kī adā achchhī nahīñ
aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se
har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin
ḳhudā ke naam pe dete na the so tang aa kar
qamīz phaaḌ lī thoḌī sī ik bhikāran ne
KHuda ke nam pe dete na the so tang aa kar
qamiz phaD li thoDi si ek bhikaran ne
'umr-e-darāz maañg ke laa.ī thī chaar din
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ
a long life, four days in all, I did negotiate
two were spent in hope and two were spent in wait
'umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din
do aarzu mein kaT gae do intizar mein
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books