aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ai nūr-e-jān-o-dīda tire intizār meñ
muddat huī palak suuñ palak āshnā na.iiñ
ai nur-e-jaan-o-dida tere intizar mein
muddat hui palak sun palak aashna nain
garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e
sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā
garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae
sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya
shab ko mai ḳhuub sī pī sub.h ko tauba kar lī
riñd ke riñd rahe haath se jannat na ga.ī
shab ko mai KHub si pi subh ko tauba kar li
rind ke rind rahe hath se jannat na gai
pareshāñ hai vo jhūTā ishq kar ke
vafā karne kī naubat aa ga.ī hai
pareshan hai wo jhuTa ishq kar ke
wafa karne ki naubat aa gai hai
maiñ ne māñgī thī ujāle kī faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahā aag lagā dī jaa.e
merely a ray of light of you I did request
you have set this fire, pray at whose behest?
main ne mangi thi ujale ki faqat ek kiran
tum se ye kis ne kaha aag laga di jae
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books