aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
un se mire nasīb kā chakkar banā diyā
kuchh gardisheñ jo bach rahīñ lail-o-nahār se
un se mere nasib ka chakkar bana diya
kuchh gardishen jo bach rahin lail-o-nahaar se
aisā huā ki ghar se na niklā tamām din
jaise ki ḳhud se aaj koī kaam thā mujhe
aisa hua ki ghar se na nikla tamam din
jaise ki KHud se aaj koi kaam tha mujhe
dīvāngī kī aisī milegī kahāñ misāl
kāñTe ḳhārīdtā huuñ gulāboñ ke shahr meñ
diwangi ki aisi milegi kahan misal
kanTe KHaridta hun gulabon ke shahr mein
guzre haiñ mai-kade se jo tauba ke baa'd ham
kuchh duur ādatan bhī qadam Dagmagā.e haiñ
guzre hain mai-kade se jo tauba ke ba'd hum
kuchh dur aadatan bhi qadam Dagmagae hain
pariyoñ ke des vaalī kahānī bhī ḳhuub hai
bachchoñ ko jis ne phir yūñhī bhūkā sulā diyā
pariyon ke des wali kahani bhi KHub hai
bachchon ko jis ne phir yunhi bhuka sula diya
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books